26/11 Case: Tahawwur Rana Jaldi Hi India Mein, US Ne Extradition Par Di Haan|

Tahawwur Rana, jo 2008 ke Mumbai 26/11 terror attacks ke main accused the, ab India laaye jayega. America ki Supreme Court ne uski extradition rokne ki plea ko reject kar diya hai. Ab who india me trial face karega.
US Supreme Court ka Clear Faisla
Tahawwur Rana ne apni extradition par stay lagwane ke liye US Supreme Court mein appeal kiya tha. Lekin Court ne reject kar diya hai. Iska matlab, ab uska India lane mein koi rukawat nahi hai.
“Modi Sarkar ki Badi Jeet” – Amit Shah
CNN News18 ke source ke mutabik, India ne US Department of Justice ke samne strong case Rakha hai. Rana ke lawyer ne “double jeopardy” ka excuse diya – matlab ek crime ke 2 trial nahi ho sakta.
Lekin India ne argue kiya ki: “Double jeopardy crime pe hota hai, na ki accused ke conduct pe.”
Is Legal logic ko US ne bhi accept kar liya – aur extradition approve kar diya hai.
India – US Dosti ka Asar
Sources ke mutabik, India ki strong global presence aur US ke saath friendly ties kaafi helpful rahe. February mein PM Modia aur US President Donald Trump ki meeting hui thi, tab bhi Rana ke topic pe baat hua tha.
Trump ne us meeting me bola tha: “Tahawwur Rana ko India mein Justice face karna hoga.”
Special Public Prosecutor Appointed
India ke Home Ministry ne advocate Narender Mann ko Special Public Prosecutor appoint kiya tha jo 26/11 case mein Rana ke against court mein case ladege.
Tahwwur Rana jo Accused the 26/11 mumbai attacks mein. US Supreme court ne Extradition stay se mana kar diya. Tab India ka stance double jeopardy nahi lagta hai. Jo ki Modi Government ki diplomatic victory hai. Ab jald hi rana India mein land karega trial ke liye.