Weather Forecast Today: Chakrawati Toofan, 4-5 February Ko Barish, Jaane UP-Bihar, Delhi-NCR Samet Desh Ke Mausam Ka Taza Update

weather

According to Indian Meteorological Department (IMD), Western Disturbance once again becomes active. On February 4 to 5, a large area including Delhi-NCR will have a cloud and light rain probability.

According to the weather department, Chakrawat like situation may emerge in Assam, Arunachal Pradesh and Odisha type of eastern states. Himachal Pradesh, Jammu Kashmir ke kai kshetron mein barfbaari ki wajah se taapmaan minus mein hai. Mausam vibhag ki maane to filhaal ilaakon mein barfbaari jaari rahegi, jiska prabhav Punjab, Haryana, Uttar Pradesh, Bihar, Delhi-NCR, Madhya Pradesh aur Rajasthan mein dekhne ko milega. Pahaadon par ho rahi barfbaari ke kaaran in rajyon mein halki sardi badh sakti hai, to wahin kuchh rajyon mein halke kohre ka bhi alert jaari kiya gaya hai.

speechle

In Rajyon Mein Barish Aur Barfbaari Ke Anumaan

4 se 5 February ke beech Jammu-Kashmir, Ladakh, Himachal Pradesh aur Uttarakhand mein halki se madhyam barish aur barfbaari ke anuman hain. Punjab, Haryana, Chandigarh, Uttar Pradesh aur Rajasthan mein 4-5 February ke beech halki barish ho sakti hai, jabki Lakshadweep mein garaj-chamak ke saath bijli girne aur halki barish ki sambhavana hai.

5 February Tak Taapmaan Mein Aayegi Kami

In dino paara badhne ke kaaran subah shaam ki hi thand reh gayi hai, lekin ab Delhi-NCR mein kuchh dino tak subah ke samay halka kohra bhi dekhne ko milega.

Mangalvaar (4 February, 2025) ko barish ke bhi anuman jataaye gaye hain. Mausam vibhag ke anusar, 5 February se taapmaan kam se kam 10 degree aur adhiktam taapmaan 30 degree Celsius tak pahunch sakta hai. Badalte mausam ke saath Uttar Bharat ke kai rajyon mein ghane kohre ke kaaran Yellow Alert bhi jaari kiya gaya hai.

Rajasthan Ke Kai Ilaakon Mein Ho Sakti Hai Barish Mausam vibhag ke mutaabik, Uttar Pradesh mein halki barish ke anuman jataaye gaye the, lekin barish nahi hui.

Paschimi Vikshobh ke sakriya hone se Rajasthan ke kai kshetron mein barish ho sakti hai.

Iske saath-saath Bihar mein bhi halki barish ke asaar jataaye gaye hain. Iske alawa Punjab aur Haryana mein bhi mausam tezi se badal raha hai. Jammu Kashmir aur Himachal mein barfbaari ka asar Punjab aur Haryana mein dekhne ko mil raha hai. Halanki, yahan barish to nahi hui, lekin taapmaan mein fir ek baar girawat aayi hai. Pradesh ke zyada kar ilaakon mein subah ke samay kohra chhaya rahega.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *