Intek Ka Naya CEO Lip-Bu Tan: Company Ko Firse Upar Uthane Ka Plan|

Intel ken aye CEO Lip-Bu Tan ne company chip manufacturing methods aur artificial intelligence (AI) strategies mein badlav karne ka faisla kiya hai. Tan, jo Tuesday ko company mein wapas aa rahe hain, Intel ko dubara se tech giant banana ke liye kuch bade changes lane wale hain. Reuters ke sources ke mutabik, Tan ka focus AI strategy ko restructure karne aur middle management layer ko streamline karne par hoga.
Kya Hoga Naye Changes Mein?
1. AI Strategy Restructuring: Tan Intek ke AI approach ko naye tarike se define karenge.
2. Staff Cuts: Middle management ko slim kiya jayega, kyunki Tan ka manna hai ki ye layer slow aur bloated hai.
3. Manufacturing Operations Revamp: Intel ka manufacturing unit, jo pehle sirf Intel ke liye chips banata tha, ab dusre clients jaise Nvidia ke liye bhi semiconductors banayega. Ye Tan ke core priorities mein se ek hai.
Tough Decisions ka Signal
CEO bane ke baad ek town hall meeting mein, Tan ne employees se kaha ki company ko “tough decisions” lene ki zarurat hogi. Iska matlab hai ki kuch employees ki jobs ja sakti hain, aur processes ko aur efficient banaya jayega.
Former CEO Pat Gelsinger ka Problem
Semiconductor industry expert Dylan Patel ke mutabik, former CEO Pat Gelsinger (jo December mein company chhod kar gaye) ka sabse bada problem tha ki wo “too nice” the. Patel ne kaha, “unhone middle management ko utna cut nahi kiya jitna zaruri tha.”
Lip-Bu Tan Ka Background
65 year old Tan, jo pehle chip design software firm Cadence ke CEO rahe hain aur ek tech investor hain, Intel ke board ke member the. Wo August 2023 mein resign kar chuke hain. Aab CEO ban kar, Tan ko ek aisi company sambhalni hogi jo 10 saal se bad decisions ki wajah sw apna dominance kho chuki hai. Intel smartphones ke liye chips banana mein fail hua aur AI processors ki badhti demand ko miss kar diya, jisse competitors jaise Arm Holdings aur Nvidia marker mein aage nikal gaye.

Intek Ka Financial Condition
Intel ne 2024 mein $19 billion ka annual loss report loss report kiya, jo 1986 ke baad pehla loss hai.
Tan Ka Plan
1 Intel Foundry Ko Improve Karna: Intel Foundry, jo companies jaise Microsoft aur Amazon ke liye chips banatta hai, ko aur customers ke saath jodne ka plan hai.
2 AI Chips ka Production Restart: AI servers ke liye chips banana ka plan firse shuru kiya jayega.
3 Software, Robotics, aur AI Models Par Focus: Intel ab servers ke alawa software, robotics, aur AI foundation models par bhi kaam karega.
Gelsinger vs Tan
Gelsinger ka plan tha Intel ko TSMC (Taiwan Swmiconductor Manufacturing Co) jaise contract chip manufacturer mein badalna, jo Apple, Nvindia, aur Qualcomm jaise clients ke liye kaam karta hai. Lekin merket ke slow hone ki wajah se Gelsinger ko apne plans ko scale back karna pada. Tan, jo Gelsinger ke execution ke internal critic rahe hain, ab unke plans ko fine tune karenge.