Saka Ki Zabardast Wapsi! Arsenal Ne Fulham Ko 2-1 Se Haraya|

Arsenal ke fans ke liye Tuesday raat ek yaadgaar moment bana! Bukayo Saka, jo 3 mahine se injury e baad wapas aaye the, ne apne ehle hi match mein goal maar kar team ko jeet dilane me madad ki. Arsenal ne Fulham ko 2-1 se hara diay aur Premier Leagur leader Liveprool aur Arsenal ke beech ka gap 9 points ka reh gaya.
Saka Ka Zabardast Comeback!
66th minute me substitute ke taur par ground par aane ke baad, sirf 7 minute me Saka ne goal maar diya! Emirates Stadium me fans ka josh dekhne laayak tha! Manager Mikel Arteta ne Kaha,
“Log Saka ko kitna pasand karte hain, ye reception se dikh gaye!”
Midfielder Declan Rice ne bhi unki tareef ki,
“Wo ek world – Class winger hai uski wapsi team ke liye bohot bada boost hai!”
Arsenal ki Title Race Ab Bhi Mushkil!
Arsenal ke liye Premier League jeetana ab bhi tough hai kyunki Livepool table ke top par hai aur abhi bhi 8 matches baaki hain. Dusri taraf, Nottingham forest ne Manchester United ko 1-0 se hara diya, jo unke champions League qualification ka sapna aur kareeb le aaya.
Arsenal ko Ek Aur Chinta – Gabriel ki Injury!
Saka ki wapsi to ek good news thi, lekin Gabriel Magalhaes ka Injury ho jana team ke liye bada jhatka ho sakta hai. Brazil ka ye centre-back Fulham ke against sirf 16 minute hi khel paya, aur uska hamstring injury concern ban gaya hai.
Rice ne kaha, “Gabriel hamari team ke best players me se ek hai, aur hume big matches me uski zaroorat hai!”
Elanga Ne Man United ko Dikhaya Unka Loss
Nottingham Forest ke Antony Elanga ne Manchester United ke khilaf ek zabardast solo goal mara! Elanga jo pehle United ka player tha, usne apni hi purani team ko hara diya aur Forest ko Champions League qualification ki race me aur mazboot bana diya.
Elanga ne kaha, “main Manchester United ka respect karta hoon, par ab Forest ke liye best dena chahta hoon!
Manchester United ab Premier League table me 13th position par hai, aur unka worst season dikh raha hai!
Wolves ki Bhi Bachat Ho Gayi!
Ek aur match me, Wolverhampton ne West Ham ko 1-0 se hara diya, aur relegation zone se door hone me kaafi madad mili.
Aapko kya lagta hai, kya Arsenal ab bhi title jeet sakti hai? Aur Enanga ne United ka sahi decision liya ya nahi? Comment karein!