Hollywood ke Mashhoor Actor Val Kilmer Ka Nidhan – Iceman Aur Batman ka Safar Samapt|

Los Angeles se ek dukhad khabar aayi hai – Hollywood ke rasiddh actor Val Kilmer ka 65 saal ki umar me deahant ho gaya. Unka nidhan Tuesday raat ko Los Angeles me unke parivaar aur doston ki upasthiti me hua.
Val Kilmer ka Jeevan Aur Sangharsh
Val Kilmar ek bahut hi versatile aur prabhavit karne walw actor the. Unka filmy safar “Top Gun” ke Iceman se lekar “Batman Forever” ke batman tak raha. Lekin unhone sirf superhit filmon me hi nahi, balki apne jeevan me bhi kaafi utar-chadhav dekhe.
1984 me “Top Secret” film se unki pehli badi pehchaan bani.
1991 me unhone Jim Morrison ka kirdar “The Doors” film me nibhaya
1995 me Michael mann ki film “Heat” me Robert De Niro aur AI Pacino ke sath kaam kiya
Kilmer 2014 me throat cancer se grasit hog aye the, jiske chalte unki awaaz aur bolne ki shakti prabhavit ho gayi. Lekin unhone himmat nahi haari aur apni kahani documentary film “Val” (2021) ke madhyam se batayi.
Ek “Difficult” Actor Ya Ek Sacha Kalaakar?
Kilmer ki acting style bahut intense thi. Unhone hamesha ane kirdar me poori tarah dhalne ki koshish ki:
“Tombstone” me Doc Holliday ka role nibhane ke liye unhone apni bed me ice bhari
“The Doors” me Jim Morrison banne ke liye ek saal tak sirf The Doors ke gaane sune
Batman ka role unke liye kathin raha kyunki Batman ka suit unka acting karna mushkil bana raha tha
Is dedication ke karan kai directors ko unke sath kaam karne me pareshaani hoti thi. 1996 me Entertainment Weekly ne ek cover story chhapi jisme unhe “The man Hollywood Loves to Hate” kaha gaya.
Lekin kai log unka samarthan bhi karte the. Director D. J . caruso ne kaha:
“Kilmer bas har scene ko gaharai se samajhna chahte the, jo sab directors ko pasand nahi aata”.
Superhit Aur Flop Filmon ka Safar
Kilmer ne kai suerhit aur flop dono tarah ki filmon me kaam kiya.
Superhit Filmen:
Top Gun (1986) – Iceman
The Doors (1991 ) – Jim Morrison
Tombstone (1993) – Doc Holliday
Heat (1995) – Chris Shiherlis
Flop Ya Controversial filmen:
Batman Forever (1995) – Logon ko unka Batman zyada pasand nahi aaya
The Island of Dr. moreau (1996) – Set par roblems script changes aur Brando kilmer ke jhagde
The Saint (1997) – Mixed reviews
Antim Yatra Aur Yaadein
Kilmer ek artist, ek poet aur ek spiritual vyakti bhi the. Unhone Christian Science ko follow kiya aur poetry books bhi likhi.
Unki do bacche Mercedes aur jack unke parivaarka hissa hain.
Josh Brolin, unke mitro aur actor, ne unki yaad me likha:
“Tum ek samajhdar, bahadur aur creative firecracker the. Aise log ab kam bache hain.”
Rest in Peace, Val kilmer Tumhari yaadein hamesha hamare saath rahegi.