Motorola Edge 60 Fusion vs Edge 50 Fusion: Kya Naya Model Upgrade Karne Layak Hai|

Motorola Edge 60 Fusion vs Edge 50 Fusion: Kya Naya Model Upgrade Karne Layak Hai|

Motorola ne India me apni naye generation Edge series smartphone – Motorola Edge 60 Fusion ko lunch kar diya hai. Is naye phone me kai hardware upprades mile hain lekin design pichle model Edge 50 fusion jaisa hi Rakha gaya hai.

Sabse bada upgrade processor ka hai, jisme Snapdragon 7s Gen 2 ke jagah naye Media Tek Dimensity 7400 processor ka use kiya gaya hai. Lekin kya yeh naye features aur changes is phone ko Edge 50 fusion se behtar banate hain? Chaliye in dono smartphones ka comparison karte hain aur dekhte hain ki kaunsa zyada better hai.

Motorola Edge 60 Fusion vs Edge 50 Fusion: Design aur Display

Dono smartphones ka design lagbhag ek jaisa hai lekin edge 60 fusion naye colors aur better durability ke sath aata hai. Isme IP68 IPP69 rating hai, jo pani aur dhool se aur bhi zyada rotection deti hai. Wahin Edge 50 fusion me sirf IP68 rating di gayi thi.

Display ke mamle me bhi naye model me improvement hai. Edge 60 fusion me:

6.67 inch pOLED quad curved display

120Hz refresh rate, 1.5k resolution, aur 4500nits ppeak brightness

Edge 50 fusion me bhi 6.7 inch pOLED display tha, lekin iska refresh rate 144Hz aur peak brightness sirf 1600nits thi.

Toh display quality aur brightness ke mamle me Edge 60 Fusion better  hai.

Motorola Edge 60 fusion vs Edge 50 fusion: Performance aur Battery

Processor me bada upgrade hua hai

Edge 60 Fusion – MediaTek Dimensity 7400 processor, 12GB LPDDR4X RAM aur 256GB storage

Edge 50 fusion – Snapdragon 7s Gen 2 processor, 12GB RAM aur 512GB tak storage

Battery bhi Edge 60 Fusion me upgraded hai:

5500mAh battery + 68W TurboPower charging

Edge 50 Fusion me sirf 5000mAh battery thi

Naya model zyada powerful hai aur battery backup bhi better milega

Motorola Edge 60 fusion vs Edge 50 Fusion: Camera

Dono smartphones ka camera setup similar hai:

50MP main camera (Sony LYTIA 700C sensor) + 13MP ultrawide camera

32MP selfie camera

Naye model me ek extra 3 in 1 light sensor diya gaya hai, jo better photography aur lighting provide karega.

Agar aapko zyada photography upgrades chahiye toh Edge 60 Fusion thoda better rahega

Motorola Edge 60 Fusion vs Edge 50 fusion: Price

Edge 60 Fusion (8GB RAM + 256GB Storage) – Rs 22,999

Edge 50 Fusion (8GB RAM + 128GB Storage) – Rs 22,999

Dono ka price same hai, lekin naye model me zyada storage aur better performance milta hai.

Kya Motorola Edge 60 Fusion Upgrade Karne Layak Hai?

Agar aap ek naye, zyada powerful aur better battery wale smartphone ki talash me hain toh Edge 60 fusion ek accha option hai

Jo log already Edge 50 Fusion use kar rahe hain, unnke liye ugrade tabhi useful hoga agar better processor display aur battery life chahiye.

Aaka kya vichar hai? Kya aap Edge 60 Fusion ko upgrade karenge? Humein comments me bataye.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *