RCB vs GT: Siraj Aur Buttler Ke kamal Se Gujarat Ne Maari Baazi|

Chinnaswamy Stadium me khela gaya match RCB ke liye ek bura sapna ban gaye, jisme Gujarat Titans ne unhe 8 wickets se harakar zabardast jeet darj ki. Is match me Mohammed Siraj aur Jos Buttler ne RCB ki haar tay kar di, jisme Siraj ne shandar bowling ki aur Buttler ne explosive batting karke Gujarat ko aasan jeet dilayi.
Match ki Kahani: Kahan Haari RCB?
RCB ki haar ke sabse bada karan tha unka kharaab shuruat. Dono teams ke beech powerplay me sirf 4 runs ka antar tha, lekin RCB 3 wickets kho baithi, jabki Gujarat sirf 1 wicket hi gawa saka.
RCB ka score powerplay me: 38/3
GT ka score powerplay me: 42/1
RCB ke bastmen shuruat se hi pressure me dikh rahe the, jabki Gujarat ke batsmen ne aram se apni innings build ki aur match apni mutthi me Rakha.
RCB ki Innings – Badhte Hi Dabdaba Gaya
PowerPlay (38/3) – Siraj ka Dhamaka
Siraj ne Devdutt Padikkal aur Phil Salt ko out karke RCB ko hilakar rakh diya. Virat Kohli bhi jaldi out ho gaye jisne RCB ke powerplay ko aur kamzor kar diya. RCB ka score sirf 38/3 tha, jo ek bohot slow shuruat thi.
Middle Overs (67/3) – Sai Kishore Ne Game Badal Diya
Jitesh Sharma aur Liam Livingstone ne sambhalne ki koshish ki. Rashik khan mehnga sabit hue, lekin Sai Kishore ne tight bowling karke RCB ko rok diya. Rahul Tewatia ne Jitesh ka catch pakadkar GT ko aur majboot bana diya
Death Overs (64/2) – Livingstone Aur David Ne Diya Dhakka
Livingstone ne Rashid khan ko target banaya aur last over me kai chhake lagakar apna fifty complet kiya. Tim David ne bhi aakhri overs me chhake barsaye, lekin Siraj ne wapas aakar Livingstone ka wicket le liya. RCB ne 169/8 ka decent total banaya, jo ek samay pe 150 tak bhi nahi dikh raha tha
Gujarat ki Innings – Masti Me Finish Kiya
Powerplay (42/1) – Shubman Gill Out But Titans Stable
GT ke liye Sai Sudharsan aur Gill ne aram se khelna shuru kiya. Gill ne ek bada chhakka lagan eke baad doosri ball pe out hog aye. GT ka powerplay score tha 42/1 – koi tez shuruat nahi, lekin control me tha game
Middle Overs (92/1) -Buttler Aur Sudharsan ki Class Batting
Sudharsan ne shandar drives aur pulls karke match ko GT ke favor me kar diya. Buttler ne tez khelna shuru kiya aur sirf kuch deliveries me fifty bana di. Hazlewood ne Sudharsan ka wicket le liya, lekin Buttler unstoppable hog aye the
Death Over (36/0) – Buttler Aur Rutherford ka Tewar
Bhuvenshwar aur Hazlewood ka ek ek over bcha tha, lekin GT ke bastsmen unstoppable ho chuke the Rutherford ne ek bada chhakka maara, aur phir Buttler ne Hazlewood ko 2 back to back chhake laga diye Sirf 17.5 overs me hi GT ne match jeet liya, 8 wickets aur 13 balls bachi thai.
Final Scorecard: Gujarat Ne RCB ko Dhul chata Di
RCB: 169/8 (20 overs)
Livingstone -54 runs
Mohammed Siraj – 3/19, Sai Kishore – 2/22
GT: 170/2 (17.5 overs)
Jos Buttler – 73 runs, Sai Sudharsan – 49 runs*
GT ne match 8 wickets se jeet liya.
Aage Kya?
GT ka agla match Sunrisers Hyderabad ke saath hai, aur do jeeton se confident Titans ek aur dhamaka kar sakti hai
RCB ko Mumbai jana hai, jahan unka agli match Mumbai Indians ke against hoga. Kya Kohli aur Co.comeback kar paayege?
Aapko kya lagta hai? Kya RCB wapas track pe aa sakegi ya GT unbeatable dikh rahi hai? Comment karke batao.