Liverpool Ne Everton Ko Harakar Jeete Merseyside Bragging Rights, Par Controversy ka Bhi Raha Saath|

Livepool ne Everton ko 1-0 se hara diya aur Premier League title ke aur kareeb aa gaye. Lekin yeh jeet bina controversy ken ahi aayi. Chalo jaan lete hain is match ke bade moments:
Match Mein Kya Hua?
Livepool ne Diogo Jota ke goal ki madad se 1-0 ki jeet hasil ki. Likin yeh goal controversial tha, kyunki Luis Diaz offside osition me the jab unhone Jota ko assist diya.
Jab Diaz Offside Tha, Toh Goal Kyun Diya Gaya?
Everton ke James Tarkowski ne ek pass intercept karne ki koshish ki, lekin ball unke pair se deflect ho gayi.rules ke mutaabik, agar ek defender ball ko “deliberately” play karta hai, toh offside reset ho jata hai. Kyunki Tarkowski ne ball play ki thi, Diaz offside nahi mane gaye aur Jota ka goal valid ho gaya. (Yeh rule pehle bhi controversy ka karan ban chuka hai.)
Managers Ka Kya Kehna Tha?
Liverpool ke manager Arne Slot ne kaha ki goal rule ke mutaabik sahi tha, lekin unhe yeh rule pasand nahi hai. Everton ke David Moyes ne kaha ki yeh goal “clearly offside” tha aur decision galat diya gaya.
Match ki Dusri Badi Controversy Kya Thi?
James Tarkowski ka Alexis Mac Allister par ek high challenge aaya. Refree ne sirf yellow card diya, jabki kaafi experts (jaise Gary Neville) ne ise “leg breaker” kaha jo red card hona chahiye tha.
Kya Future Me Yeh Rule Badal Sakta Hai?
Offside rule ko lekar debates pehle bhi hoti rahi hain, aur “deliberate play” ka matlab clear karne ki demand bhi badi hai. Turant koi change expected nahi hai, lekin yeh incident future me rule revise karne ki baat ko aur tez kar sakta hai.