Indian Startups Par Piyush Goyal ka Tika: Ice Cream Banaye Ya Chips|

Indian Startups Par Piyush Goyal ka Tika: Ice Cream Banaye Ya Chips|

Indian startups aur technology ke future ko lekar ek badi debate shuru ho gayi hai. Union Comerce Minister Piyush Goyal ne startu ecosystem par comment karte hue kaha ki India ke enterepreneurs ko sirf food delivery ya online shopping tak simit nahi rehna chahiye, balki AI, EVs (Electric Vehicles) aur semiconductors jaisi advanced technology pardhayan dena chahiye.

Piyush Goyal ka Kya Kehna Tha?

Ek investment event me Piyush Goyal ne Kaha: “Hum food delivery apps bana rahe hain, ameer logon ke liye cheap labour Tayyar kar rahe hain, jabki china AI aur Semiconductors develop kar raha hai.”

Unhone startups se sawal kiya: “Hume ice cream (delivery apps) banani hai chips (semiconductors)?” Goyal ne yeh bhi kaha ki India me har saal sabse zyada STEM (Science, Technology, engineering, Mathematics) graduates nikalte hain, lekin hum sirf delivery boys aur girls create kar rahe hain.

Industry Leaders ka Jawaab

Piyush Goyal ke is statement par startup industry se mixed reactions aaye.

Zepto ke Aadit Palichan ka Jawab

Zepto ke co-founder Aadit Palicha ne kaha:

Unka startup 1.5 lakh logon ko Naukri de raha hai. Har saal Rs 1000 crore se zyada tax contribute karte hai. Unhone backend supply chain aur fresh fruits & vegetables sector me bhi investment kiya hai. Palicha ne ye bhi kaha ki China ki Alibaba jaise bade startups bhi pehle consumer internet companies thi aur startups ko support karne ki zaroorat hai unhe neeche girne ki nahi.

Ashneer Grover ka tana

BharatPe ke ex-MD Ashneer Grover ne kaha:

“China bhi pehle food delivery par focus karta tha, fir deep tech tak pahucha. Lekin agar hum China ka example lena chahte hain, to hamare neta bhi 20 saal tak 10% economic growth rate maintain karne ka plan banayein.

Grover ne kaha ki economic growth aur startup ecosystem ko saath lekar chalna hoga.

Mohandas Pai ka Strong Reaction

EX-Infosys CEO Mohandas Pai ne Piyush Goyal ki ninda ki aur kaha: “Piyush Goyal ko Indian startups ko neecha dikhane ke bajaye ye dekhna chahiye ki unhone deep tech startups ke liye kya support diya hai? Unhone Finance Minister Nirmala Sitharaman aur RBI (Reserve Bank of India) par bhi taana mara ki government ka startup policy ko lekar approach supportive nahi raha hai.

Mohandas pai ka kehna tha ki:

Chaina ne 2014-2024 ke beech Rs 845 billion invest kiya jabki India sirf Rs 160 billion. Government ko deep tech aur AI startups ko support karna chahiye.

Debate ka Conclusion?

Piyush Goyal ne ek valid point uthaya ki India ko advanced technology me bhi grow karna chahiye, lekin existing startups ko neecha dikhana solution nahi hai.

Food delivery aur consumer startups bhi economic growth aur naukriyan badhane me madad kr rahe hain. Deep tech aur AI startups ke liye sarkar ko support badhane ki zaroorat hai. Startup founders aur government ko ek daath milkar kaam karna hoga taaki India ek global tech powerhouse ban sake.

Aapka kya kehna hai? Ice cream ya chips?


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *