Mahavir Jayanti 2025: Jain Dharm ke Sabse Pavitra Tyohar|

Mahavir Jayanti 2025: Jain Dharm ke Sabse Pavitra Tyohar|

Date: 10 April 2025

Mahavir Jayanti Jain dharm ka sabse mahatvapurna tyohar hai. Is din Lord Mahavir, jo ki Jain dharm ke 24th aur aakhri Tirthankara the, unka janm divas manaya jaata hai. Unhe ek spiritual guru aur reghteousness ka path dikhane wale ke roop mein maana jaatha hai.

Kaise Manate Hain Mahavir Jayanti?

Is Pavitra din par Jain log badi sharaddha aur utsah se celebration karte hain. Har community ka apna andaaz hota hai, lekin kuch common traditions yeh hain:

Rath Yatra: Lord Mahavir ki murti ko rath par bitha kar shobha yatra nikali jaati hai.

Charity Work: Daan aur seva karke Lord Mahavir ke compassion ko yaad kiya jaath hai.

Temple Visit: Log mandir jaate hain, prathana karte hain aur spiritual guidance lete hain.

Mahavir Jayanti Par Ghoomne Layak Pramukh Jain Mandir

Agar aap is Mahavir Jayanti par kisi spiritual trip ka plan bana rahe hain, toh yeh famous Jain temples zaroor vvisit karein:

1 Palitana Temple, Gujarat

Location: Shatrunjaya Hill, Bhavnagar

Highlights: 900+ mandir ek hi Jagah Lord Adinath ko dedicate kiya gaya hai

Specialty: 3,000 se zyada steps chadhkar jaana hota hai – ek Pavitra journey

2 Dilwara Temples, Rajasthan

Location: Mount Abu ke paas

Highlights: Shandar marble carving aur 5 historic temples

Specialty: Adinath aur Mahavir Swami ko Samarpit – ek shaanti bhara experience

3 Ranakpur Jain Temple, Rajasthan

Location: Aravalli Hills

Highlights: 1,444 unique marble pillars

Specialty: 15th century ka mandir, Lord Adinath ko samarpit

4 Shikharji Temple, Jharkhand

Location: Parasnath Hill

Highlights: 20 Tirthankara yahan moksha prapt kiya

Specialty: Tren aur forest ke beech ek spiritual journey

5 Shri Digambar Jain Lal Mandir, Delhi

Location: Chandni chowk ke saamne, Red Fort ke paas

Highlights: Delhi ka sabse purana Jain Mandir (1656 ka)

Specialty: Mahavir Jayanti ke din special rituals aur processions

6 Gomateshwara Temple, Karnataka

Location: Shravanabelagola

Highlights: 57 feet tall Bahubali ki statue duniya ki sabse badi monolithic murti

Specialty: 10th century ka marvel, Mahavir Jayanti pe yahan kaafi bheed hoti hai

Mahavir Jayanti ek aisa din hai jab hum ahimsa, karuna aur satya ke path ko yaad karte hain. Lord Mahavir ke teachings humein ek behtar insaan banne ka rasta dikhate hain.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *