AI – Hilal Phir Se Ruka, Title Race Se Peeche Hata|

Dammam mein hua ek zabardast match, lekin AI-Hilal ke fans ke liye khush nahi, frustration ki shaam rahi. League ke defending champions Ettifaq ke saath 1-1 draw karke ab title jeetne kanuka sapna aur mushkil ho gaya hai.
Title Race Mein Pechhe
AI – Hilal jo ab 7 points peeche hai league leaders AI-Ittihad se. aur only 7 mattches bache hain, jabki pichhle 9 games mein only 3 jeet mili hai. Team aur Coach Jorge Jesus ki liye yeh bada jhatka hai.
First Half: Ettifaq ka Dumdaar Start
Match ka pehla half Ettifaq ne apne naam kiya. Gini Wijnaldum ne midfield mein game control kiya tha. Jo ki half time ke bilkul pehle, Joao Costa ne ek zabardast long range goal maara ek dum top corner mein aur 20 yeard old Costa ne sabko impress kar diya.
Second Half: AI Hilal Ka Comeback
Half time ke baad AI – Hilal ne aggression ke saath wapas aana shuru kiya. Mitrovic ne ek early shot maara, lekin goalkeeper ne rok liya, aur 57 minute mein finally equalizer aaya. Milinkovic Savic ne Renan Lodi ko pass diya aur Lodi ne ball cut back kiya aur Malcom ne powerful shot ke saath goal kar ke 1-1 pe le aaya.
Missed Chances Aur Frustration
Marcos Leonardo ek aur chance pe ball miss kar diye eakdam goal post ke nagdik se. kaio Cesar ka shot bhi block ho gaya. Injury ke time mein Abdullah AI – Hamdan ka flying header goal ke upar chala gaya aur wahi last big chance tha aur yahi se match end hua 1-1 pe AI – Hilal ke liye disappointment aur Ettifaq ke liye ek valuable point tha.
AI – Ahli Ki Solid Jeet
Isse se pehle vi AI-Ahli ne AI-Raed ko 2-0 se hara diya tha: Franck Kessie ne penalty se pehle goal kiya. Gabri Veiga, jo injury ke baas wapas aaye, unhone second half mein goal karke match seal kiya. Ab AI – Ahli 4th position pe aa gaya hai.
Kya AI – Hilal Ab Bhi Title Ke Race Mein Hai?
AI-Hilal ke paas ab bhi time hai, lekin unko ab har match Must win ban gaya hai. Fans ko ab miracle ki zarurat hai.