Air India Ke Boeing 777 Planes ka Naya Look – Singaport Se Wapas Aaya Pehla Upgraded Aircraft|

Air India Ke Boeing 777 Planes ka Naya Look – Singaport Se Wapas Aaya Pehla Upgraded Aircraft|

Air India (AI) ke 13 Boeing 777 widebod aircrafts ka revamp process shuru ho gaya hai. Pehla aircraft VT-ALK Singapore se wapas aaya hain aye interiors aur fresh look ke saath.

Kya Kya Badal Gaya Hai?

New Seat Covers – Purane covers hata kar naye stylish covers lagaye gaye hain. Fresh Carpeting & Curtains – Naya Flooring aur curtains se aircraft ka look aur classy ho gaya hai. Sharp Interior Lift – Cabin panels aur Lavatories ko naye paint se fresh kar diya gaya hai. Air India Ke Naye Color Scheme ke Seats – Airlines ka modern touch passengers ko feel hoga. Ye interior upgrade ek temporary enhancement hai jo passengers ke experience ko better bannane ke liye kiya gaya hai.

Full Cabin Makeover Kab Hoga?

Boeing 777 ke purane seats aur dysfunctional in-flight entertainment screens (jo seats ke back par hote hain) ka complete replacement 2026 tak delay ho gaya hai. Pehle ye process 2023 me shuru hone wala tha. Boeing 787 ka retrofit program (naya seats aur entertainment system) is mahine se start ho raha hai. Pehla upgraded B787 October me service me wapas aayega, aur phir har mahine 2-3 planes upgrade hote rahenge. Narrowbody aircrafts ka upgrade bhi shuru ho chuka hai. Pehla A320 neo aircraft ka upgrade pichle mahine complete ho gaya aur total 27 aircrafts ka upgrade 2025 ke third quarter tak finish ho jayega.

Kab Tak Pura Upgrade Complete Hoga?

Air India December 2024 tak 13 Boeing 777 aircrafts ka light refresh complete kar degi, jabki full makeover 2026 tak hoga. B787 aur A320 neo aircrafts ka upgrade jaldi complete hone wala hai.

Passengers ko ab zyada comfortable aur stylish interiors milenge Aap Air India ken aye look ko kaise rate karenge?


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *