Anaya Bangar ki Kahaani: Cricketer, Courage, Aur Apni Pehchaan Ki Talaash|

Anaya Bangar jo former Indian cricketer aur coach Sanjay Bangar ki beti hain. Pehle unka naam Aryan tha aur who ek boys tha but unhone gender reaffirming surgery ke baad apni asli pehchaan – Anaya – ko apnaya. Who ab UK mein rehti hain aur unki kahaani ek courageous transformation aur challenging cricket journey ke baare mein hai.
“Main ladki hoon, mujhe ladki banna hai”
Interview mein anaya ne kaha ki unhe apne gender identity ka pehli baar ehsaas 8-9 saal ki umar mein hua tha.
“Main maa ki almari se kapde nikal kar pehenti thi, aur mirror mein khud se kehti thi – Main ladki hoon, mujhe ladki banna hai”.
Yeh feelings unke andar kaafi time se tha, but cricket jaise macho sport mein ani pehchaan ko openly accept karna bahut mushkil tha.
Cricket aur Toxic Masculinity
Anaya ne MMusheer khan, Sarfaraz Khan, aur Yashasvi Jaiswal jaise popular cricketers ke saath cricket khela hai. but unhone bataya ki cricket duniya main toxic masculinity aur insecurity kaafi hai.
“Mujhe apne identity ko chhupana padta tha, kyunki papa ek well known naa hain cricket world mein.”
Harassment aur Challenges
Surgery ke baad unko support bhi mila aur harassment bhi. Kuch cricketers ne bina wajah nude photos bhejni shuru kar di. Aur ek person unko sabke saamne galiyan deta tha, but baad mein photos maangta tha. Ek cricketer ne kaha: “Chalo car mein, main tumhare saath sona chahta hoon.” Yeh sab incidents batate hin ki transgender ko sirf identity se nahi balki society se bhi struggle karna padta hai.
Cricket Career Ka Status
Anaya ne india mein Isla Gymkhana ke liye aur UK mein Hinckley Cricket Club ke liye cricket khela hai. unke pass taltnt undeniable hai, but international level par challenges aur bhi badh gaye hain. November 2023 mein, ICC ne decide kiya ki: “Transgender athletes ab Women’s international cricket mein participate nahi kar sakti.” Is decision ne jaise Anaya jaise players ke sapne thode aur mushkil bana diye.

Ek Message Society Ke Liye
Anaya ki journey ek remiender hai hum sab ke liye – ki har insaan ko apni pehchaan express karne ka haq hai, bina kisi judgement aur harassment ke. Sports jaisi duniya mein inclusivity hona chahiye, na ki sirf phusical strength ka competition.