Aston Villa ki Zabardast Jeet Top 6 mein Entry, Champions League ka sapna zinda

Aston Villa ne Saturday ko ek aur badi jeet darj ki jab unhone Nottingham forest ko 2-1 se hara diya. Morgan Rogers aur Donyell Malen ke shuruaati goals ne Villa ko early lead di aur match unke naam likh diya. Ye Unai Emery ke players ki saatvi consecutive jeet thi – har competition mein.
Champions League ke liye Race Garam
Ab Villa Premier League table mein top 6 mein aa gayi hai, aur Champions League qualification ka dream bh ab real lag raha hai. “Champions League aur FC Cup important hai, lekin Premier League sabse zyada zaroori hai – isi se agle season ke liye him qualify karenge,” – Uni Emery . Villa ab Manchester City se bas goal difference pe neeche hai aur Chelsea se sirf ek point peeche.
Match Summary:
13th minute: Morgan rogers ne Youri Tielemans ke long pass ko control karke shandar finish kiya – season ka unka 13th goal.
15th minute: Donyell Malen ne lan Maatsen ke low corss ko convert karke lead 2-0 kar di. Forest thode thake hue lage, unhone Manchester United aur Brighton ke against recent matches mein kaafi energy laga di thi.
56th Minute: Jota Silva ne Neco Williams ke cros par goal karke Forest ko comeback ka chance diya.
Second Half Drama
Forest ne second half mein comeback ka try kiya, lekin Rashford, Ramsey, aur Kamara jaise fresh legs ground ar aane ke baad Villa ne game control kar liya. Rogers ke paas ek aur goal karne ka golden chance tha, lekin Matz Sels ne brilliant save karke Forest ki hopes ko zinda rakaha. Stoppage time mein Murillo ka long shot crossbar se takra gaya – aur bas ek inch ki doori par Forest match draw karne se reh gayi.
Final Thouthts:
Villa ki form bilkul fire hai – 7 jeet back to back
Champions League qualification aur FA Cup final dono achievable lag rahe hain.
Forest ke paas ab bhi 7 matches bache hain apni European hopes ko zinda rakhne ke liye.