Bazooka Movie Review: Gaming Thriller Ya Star Fan-Service Fail|

Kya aapne kabhi ek aisi film dekhi hai jo shuru se leke end tak sirf background music aur slow motion scenes se bharpoor ho, but story me kuch khaas na ho? Bazooka, Deeno Dennis ki directional debut, kuch aise hi film hai.
Film ka premise toh interesting lagta hai ek forensic expert ek dangerous criminal ko pakadne mein police ki help karta hai. Criminal har heist se pehle kuch cryptic clues chhodta hai. Sounds aacha hai. Lekin idea sirf paper pe hi aacha lagta hai.
Plot Ya confusion?
John Caesar bus mein travel kar raha hota hai, jahan wo apne nosy neighbor jo ki loudly games khelta hai se random conversations karta hai. Inhi boring baton ke beech humare hero kuch clues decode karte hain. Lekin inke lekhne ka tareeka itna weak hai ki interest uth hi nahi paata.
Polic investigation scenes toh aur bhi cringe hai. Ek moment mein jab ACP Gautham Vasudev Menon se kaha jaata hai ki mastermind ek psychoath ho sakta hai toh ACP serious face bana ke bolta hai, “Lets not glorify him.” Matlab.. really?
Background Music Har Time?
Poore film mein background score itna over the top hai ki lagta hai har scene mein kuch bada hone wala hai, lekin kuch hota nahi hai.chahe wo Mammootty bus sto pe khada hoy a kisi minor action mein ho, music every time bajta hai.
ACP ke entry pe bhi same background music. Aisa lagta hai movie isliye banaya gayi ho ki har superstar movement pe whistle baja sakein.
Action Scenes Without Logic
Some random bike gang fights bhi daale gaye hain jo story se koi lena dena nahi rakhte. Only Mammootty ki action image ko dikhane ke liye. Yeh sab dekh kar lagta hai ki film ko fan service ke chakkar mein actual fans ka hi disservice ho gaya hai.
Gaming Thriller? Kahan?
Movie ko “gaming thriller” bola gaya hai bas isliye kyunki log games khelte dikhte hain, bas. Na koi game logic hai, na thrill hai is film ka gamelay toh Kahin dikhta hi nahi hai.