Bhim Rao Ambedkar Jayanti – PM Modi ka Tribute aur Ek Self Reliant India ka Sapna|

Bhim Rao Ambedkar Jayanti – PM Modi ka Tribute aur Ek Self Reliant India ka Sapna|

Bharat ke Prime Minister Narendra Modi ne Baba Saheb Dr. Bhim Rao Ambedkar ko unki Jayanti par yaad kiya aur tribute diya. Modi ne kaha social justice samajik nyaay ka jo sapna Ambedkar ji ne dekha tha aaj Bharat usse pure karne ki liye dedicated hai.

PM ne Twitter par likha: “Unke principles aur ideas ek aatmanirbhar aur viksit Bharat banana mein humein strength aur speed denge”.

Baba Saheb Ambekar – Ek Nazar Mein

Baba saheb ka Janam: 14 April 1891 mein, ek Dalit parivaar mein hua tha, unhone Bachpan se hi kaafi discrimination (bhed-bhav) ka samna kiya. Baba Saheb ek Brilliant student the foreign countries se unhone education li thi, aur Bharat ke pehle Law Minister bane tha. Inka Mahan Yogdan Indian Constitution ke main architect mein raha. Inka Mrityu 1956 mein hui thi.

Inka jeevan social reform ke liye dedicate tha – Baba saheb ne hamesha Scheduled Castes ke empowerment ke liye kaam kiya. Bhek bhav ke khilaaf unki ladai ne samaj ko ek naya drishtikon diya.

Kya Seekh Milti Hai?

Dr. Ambedkar ne humein sikhaya hai ki Shiksha sabse bada shastra hai. Equality ke bina samaj aage nahi badh sakta hai, aur Constitution sirf ek kitab nahi, ek jeevant vision hai.

Aaj bhi unka vision hum sabko inspire karta hai ki hum ek aise bharat banayein jahan sabko barabari ka haq hai – bina jaati, paise ya background ke.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *