ChatGPT -4o Ne Launch Kiya Nafya Image Generator – Kaise Banaye AI Images|

ChatGPT -4o Launched New Image Generator – How to Create AI Images|

OenAI ne apna naya image generation feature “4o Image Generation” launch kiya hai. Ab ChatGPT me GPT -4o ka use karke images generate ki ja sakti hain! Yeh feature abhi ChatGT Plus, Team aur Pro users ke liye available hai aur Dheere-dheere free users ke liye bhi roll out ho raha hai. Lekin ChatGPT Enterprise aur Edu users ke liye ye abhi available nahi hai.

ChatGPT 4o Image Generator Kya Hai?

OenAI ne isse “sabse advanced image generator” kaha hai jo photorealistic aur accurate images create kar sakta hai. openAI CEO Sam Altman ne bataya ki yeh feature itna viral ho raha hai ki company ke servers overload hog aye hain! Is wajah se kuch samay ke liye usage liit ki jar ahi hai jisme free users sirf 3 images par day generate kar sakenge.

ChatGPT Me AI Image Kaise Banaye?

Agar aap hi ChatGPT me AI images generate karna chahte hain, to ye simple steps follow karein:

Step 1: ChatGPT ka latest version oen karein aur Prompt bar ke three-dot icon par click karein.

Step 2:Image” option select karein, jo Canvas” option ke paas dikhega.

Step 3: Apna text promt likhein, jsise: “Studio Ghibli style ka ek insan jisme bright blue sky ho”

Step 4: Image generate hone ke baad aap modifications maang sakte hain.

Step 5: Jab image perfect lage to download kar lein.

ChatGPT ke Alawa Aur Kaunse AI Image Generators Available Hain?

Agar aap aur bhi AI tools use karna chahte hain to Gemini, Gork, Microsoft Coilot jaise alternatives try kar sakte hain. Chaliye inke bhi steps dekhte hain:

Grok AI Me Images Kaise Banaye?

Step 1: Grok Image Generator open karein aur apna text prompt likhein.

Step 2: ‘Edit Image’ option select karke image ko fine-tune karein.

Step 3: Jab image pasanda aye to download kar lein.

Gemini Me AI Images Kaise Banaye?

Step 1: Gemini (web ya app ) oen karein.

Step 2: Apna prompt likhein, jaise: “Ek kutt jo surfboard chala raha ho”

Step 3: Image generate hone ke baad download karein.

Microsoft Copilot Se AI Images Kaise Banaye?

Step 1: Microsoft Copilot icon par click karein.

Step 2: Apna image prompt likhein aur submit karein.

Step 3: Image ko modify kar sakte hain aur jab perfect lage to download kar lein.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *