Chhaava OTT Par Release Hone Ko Taiyaar – Vicky Kaushal Ki Blockbuster Ab Netflix Par|

Chhaava OTT Par Release Hone Ko Taiyaar – Vicky Kaushal Ki Blockbuster Ab Netflix Par|

Vicky Kaushal ki Blockbuster movie ‘chhaava’ ab OTT par release hone ja raha hai. Chhatrapati Sambhaji Maharaj ke jeevan par ye movie bani hai jo zabardast box office par kamaal dikhaya hai, aur ab Netflix par log is kahaani ko ghar baithe dekh sakenge.

Kab Aur Kahaan Dekhein Chhaava?

Agar aapne cinema hall me ye movie nahi dekha tha toh good news yeh hai ki Chhaava 11 April se Netflix par available hoga. Nexflix ne Instagram pe poster share kar ke kaha hai ki “Agle Raje aale. Watch Chhaava, out 11 April on Netflix.”

Vicky Kaushal ka Zabardast Roop – Chhatrapati Sambhaji Maharaj ke Rupa Mein

Movie mein Vicky Kaushal ne Chhatrapati Sambhaji Maharaj ka role play kiya hai, jisko critics aur audience dono ne bahut pasand kiya.unka performance itna accha tha ki logon ne kaha: “Yeh unka career best role hai”.

Vicky ne Kaha: “Yeh role mere career ka sabse proud moment tha. Sambhaji Maharaj ki kahaani pure world tak pahuchni chahiye. jo ki  Netflix par release hone se yeh possible ho paayega.”

Cast Aur Director

Film ka director hain Laxman Utekar (Mimi fame) aur producer Dinesh Vijan (Maddock films) hai.

Cast mein aur bhi talented log hain: Rashmika Mandanna, Akshay Khanna aur Ashutosh Rana hai.

Kya Khaas Hai Chhaava Mein?

Powerful Story: Sambhaji Maharaj ke courage aur sacrifice ko dekhaya gaya hai.

Mind – blowing music: AR Rahman ka music aur Irshad Kamil ke soulful lyrics.

Visual grandeur: Epic Battle scenes aur royal setups.

Emotional connect: Sambhaji Maharaj ki kahaani, jo aaj bhi youth ko inspire karti hai.

Box Office collection – Jawan Ko Bhi Peeche Chhoda

Chhaava movie ne India mein Rs 599 crore ka net collection kiya hai, aur worldwide Rs 804 crore kamaakar Shah Rukh ki Jawan ko bhi peeche chhod diya hai. Ab yeh movie Hindi cinema ki third biggest hit ban gayi hai.

Global Reach – Netflix Ke Through

Producer Dinesh Vijan ne kaha: “Yeh movie sirf ek kahaani nahi, legacy hai. Ab yeh duniya bhar ke logon tak pahunch paayegi Netflix ke platfor ke zariye.”

Agar aapko history, aur royal stories pasand hain, toh Chhaava movie dekhni chahiye. Jo 11 April ko Netflix pe aa jayega.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *