Eid-ul-Fitr ke Celebration ke Beech Indian Stock Market Ne FY25 Record High Par Khatm Kiya!|

Jab ek taraf Donald Trump ken aye trade policies aur reciprocal traffic threats ka tension tha, tabhi dusri taraf Indian stock market ne FY245 ko ek zabardast high note par close kiya! Market ne 5% ka gain record kiya, jo investors ke liye ek positive signal hai. Lekin, is economic discussion ke beech eid-ul-fitr ka jashan bhi Chhaya raha!
Eid ki Tareekh Par Confusion?
Eid-ul-Fitr ek aisa tyohaar hai jiska fix date nahi hota kyunki yeh chaand dekhne par depend karta hai. Is baar log is baat par confused the ki Eid 31st March ko hogi ya 1st April ko?
Lekin Sunday shaam ko chaand dikh gaya, aur Eid-ul-Fitr aaj, 31st March 2025 ko celebrate ho rahi hai!
Stock Market Investors Bhi Hue Confuse!
Eid ke din NSE aur BSE ka trading schedule kya hoga, isko lekar bhi investors confused tha. Kyuki chaand dekhne ka decision late Sunday ko aaya, kai log soch rahe the ki market open rahega ya Nahi?
Lekin holiday calendar ke mutabik, BSE aur NSE dono aaj band rehenge. Stock market ke saath saath currency derivatives segment bhi Monday ko shut rahega.
Kya Investors Ke Liye Achha Raha FY25?
Haan! Mrket ne FY25 ko strong closing di aur Eid ki positive vibes bhi chal rahi hain. Ab dekhna yeh hai ki Trump ki nayi trade policies aage market ko kaise affect karti hain. Par abhi ke liye, investors aur traders Eid ka maza le sakte hain!