FC Goa Ne Match Jeeta, Par Bengaluru FC Ne Final ki Ticket Le Li|

FC Goa Ne Match Jeeta, Par Bengaluru FC Ne Final ki Ticket Le Li|

FC Goa ne apne home ground Jawaharlal Nehru Stadium mein Sunday ko 2-1 se jeet zarur haasil ki, lekin aggregate score 3-2 ke chalte Bengaluru FC ne Indian Super League 2024-25 ke final mein jagah banayi. Goa ke liye Borja Herrera aur Armando Sadiku ne goals kiye, lekin sabse bada kaam kiya Bengaluru ke legend Sunil Chhetri ne – Jinhone last moment par team ke liye jeet ka goal maara.

Match ka Flow:

49th Minute me Borja ke Bullet Free Kick Sivasakthi Narayana ne Ayush Chhetri ko box ke bilkul bahar foul kiya. Goa ke players penalty maang rahe the, lekin ref ne free kick diya. Borja Herrera ne uss chance ko perfect goal mein convert kiya – Gurpreet Sandhu ki full stretch dive bhi bachane ke liye kaafi nahi thi.

88th Minute me Sadiku ka comeback Goal, Goa lagatar pressure daal raha tha, aur finally Akash Sangwan ke zabardast cross par Sadiku ne powerful header lagake score 2-0 kar diya. Ab match extra time ki taraf jaa raha tha.. lekin twist baaki tha.

90+2 Minute me Sunil chhetri ka Hero Moment, Jaise hi laga match extra time mein jaayega, waise hi Namgyal Bhutia ka cross aaya aur Sunil Chhetri ne ek classic diving header se Goa ka sapna tod diya.

Bengaluru ki Smart Strategy

Gerard Zaragoza ke boys ne sirf 2 shots on target liye aur unme se ek goal ban gaya. Solid defence + timing pe attack – yahi tha unka winning formula. Goalkeeper Gurpreet bhi kaafi crucial saves karte rahe.

Whats Next?

Bengaluru FC ab final mein jaa chuki hai, jahan unka muqabla hoga Mohun Bagan Super Giant ya Jamshedpur FC ke beech ke  second semifinal ke winner se.

Final Score:

FC Goa 2 (Borja 49’, Sadiku 88’)

Vs Bengaluru FC 1 (Chhetri 90+2’)

Aggregate: Bengaluru jeeta 3-2.

Toh doston, FC Goa ne dil se khela, lekin Bengaluru FC ne Strategy se final ka ticket kaat liya.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *