Golden Girl’ Avani Lekhara ki jeet se garv mein Bollywood, Kareena se Sonu Sood tak kai sitaaron ne di badhai.
New Delhi: Paris Paralympic Games 2024 ke doosre hi din Avani Lekhara ne itihaas rach diya hai. Unhone Paris Paralympic 2024 mein Bharat ko pehla gold medal dilaya hai, jisse poore desh mein khushi ki lehr hai. Is jeet se Bollywood bhi gadgad hai. Bollywood ke kai sitaaron ne is jeet par khushi zahir karte hue ‘Golden Girl’ ko badhai di hai.
Bharat ki nishanebaaz Avani Lekhara ne 10 meter air rifle (SH1) event mein pehla gold medal jeeta. Isi event mein Bharat ki Mona Agarwal ne bronze medal jeet kar kamaal kar dikhaaya. Paris Paralympic mein padak haasil karne ke liye Bollywood ne bhi Indian para-athletes Avani Lekhara, Mona Agarwal, Manish Narwal aur Preeti Pal ko badhai di hai.
Celebs zahir kar rahe hain khushi
Kareena Kapoor ne Instagram par Paris Paralympic mein jeet haasil karne wale athletes ka ek collage post karte hue apni khushi zahir ki. Unhone apni Instagram story par Avani, Mona, Manish aur Preeti ko tag karte hue likha, ‘Bahut-bahut badhai.’ Isi ke saath unhone heart aur tirange ka emoji bhi share kiya. Sonali Bendre ne bhi Paris Paralympic vijetaon ko badhai di hai. Unhone collage share kar ke likha- ‘Padak phir se ghar aa gaye’.
buy best camera at a best price
Ayushmann Khurrana bole- Bahut garv mehsoos ho raha hai
Ayushmann Khurrana bhi khel premi hain. Unhone bhi Instagram par apna utsaah zahir kiya. Unhone vijetaon ki tasveeron ko share karte hue likha- ‘Paralympic mein Bharat ke liye kitna adbhut din hai. Bahut garv mehsoos ho raha hai.’ Isi ke saath Ayushmann ne pratyek athlete ko vyaktigat roop se apni post mein badhai di. Iske saath hi producer Jackie Bhagnani, Rakul Preet Singh aur gareebon ke masiha Sonu Sood ne bhi social media par Paris Paralympic mein Bharatiya athletes ki uplabdhi par khushi zahir ki.
Paris Paralympic 2024 ke anya Bharatiya vijeta
Aapko bata dena chahiye, Avani Lekhara ne mahilao ki 10 meter air rifle standing SH1 final mein gold medal jeeta aur isi ke saath unhone ek aur kamaal bhi kar dikhaaya. Avani ne 249.7 ank haasil karke Paralympic record bhi banaya. Halanki, isse pehle bhi unhone kai record banaye hain. Ye Avani ka doosra Paralympic svarna hai aur aisa karne wali voh pehli Bharatiya mahila ban gayi hain. Wahin, Mona Agarwal ne bhi isi spardha mein bronze medal jeeta. Iske alawa, Manish Narwal ne purushon ki air rifle shrenee mein silver medal haasil kiya, jabki Preeti Pal ne mahilao ki T25-100 meter spardha mein bronze medal jeet kar itihaas rach diya, aur ye uplabdhi haasil karne wali pehli Bharatiya para-athlete ban gayi.