Good Friday 2025: Kyun Manaaya Jaata Hai Ye Din Aur Kya Hai Iska Mahatva|

Good Friday 2025: Kyun Manaaya Jaata Hai Ye Din Aur Kya Hai Iska Mahatva|

Good Friday har saal christain calendar ka ek bahut hi mahatvapurna aur emotional din hota hai. Is year Good Friday 18 April 2025 ko manaya jayega, jo ki Easter Sunday 20 April ke do din pehle hai. Is din Holy Week ka ek hissa hota hai, jo Monday Thursday ke baad aur Holy Saturday ke pehle aata hai.

Good Friday ka Itihaas

Mana jata hai ki Good Friday ka Sambandh Jesus Christ ke crucifixion (suli par chadhaya jaane) se hai. Bible ke New Testament ke according:

 Jesus ke us samay ke dharmic netaon ne “blasphemy” ka doshi bataya.

Unhone Jesus ko Roman governor Pontius Pilate ke paas bheja, jahan un par case chala.

Jesus ko crucifixion ki saza mili, jo us time sabse kathin aur dardnaad punishment thi.

Unhe ek wooden cross uthakar sadkon par le jaaya gaya aur ussi par unhe suli par Chadhaya gaya.

Kaha jata haiki Jesus ne ye bali insanon ke paapon ka prayshchit karne ki liye di thi.

Good Friday Ka Mahatva

Christians Good Friday ko ek dukh bhara mante hain, lekin is din Pavitra bhi hota hai. Is din log, Fasting karte hain, prarthana aur church services mein shaamil hote hain, silent processions nikalte hain, church mein lights dim kar di jaati hain, bells band hoti hain aur Moortiyan dhaki jaati hain, taaki shok vyakt kiya ja sake.  Yeh din jesus ke tyag aur prem ki yaad dilata hai – aur ek aisi aasha deta hai jo Easter Sunday ke roop mein poori hoti hai, jab unka prnarutthaan hua tha.

Kya Aapko Pata Tha?

Good Friday ko “Good” isliye kaha jaata hai ki Jesus ke sacrifice ne duniya ko moksha aur nayi Zindagi di. Yeh grief ka din hone ke bawajood, hope aur faith ka bhi Pratik hai.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *