GT Ne lack Soil Pitch ka Faida Uthaya, MI ko 36 Runs Se Haraya!|

GT took advantage of the poor soil pitch, defeated MI by 36 runs!|

Gujarat Titans (GT) ne ane home ground Narendra Modi Stadium me Mumbai Indains (MI) ko 36 runs se hara diya. Assistanct coach Parthiv Patel ne bhi maanga ki black soil pitch uski strategy ka hissa thai, jisme MI ke stroke players ko takleef hui.

Black Soil Pitch Ne Badla Match ka Flow

GT ne jaan boojh kar black soil track chuna, jo slow hota hai aur balle pe ball late aati hai. MI ke players Wankhede Stadium ki fast red soil pitches ke aadat mein the, jisme stoke play aasaan hota hai. Lekin yaha pitch ne unka kaam mushkil dar diya.

Pehle match me GT ne Punjab kings ke khilaf red soil pitch par game khela tha, jisme 475 runs bane the aur GT haara tha. Is baar unhone slow black soil pitch use ki jo MI ke style ke khilaaf gayi.

GT Ne Batting Me Mazboot Total Banaya

GT ke Shubman Gill aur Sai Sudarshan ne acchi shuruaat di aur 78 runs ki opening partnership ki. Uske baad middle order ne aur strong score build kiya. MI ke Trent Boult aur Deepak Chahar ko early breakthroughs nahi mile.

Prasidh Krishna Ne Match Palat Diya!

GT ke bowlers ne MI ke batters ko tange me uljha diya. pasidh krishna sabse behtareen bowler rahe, unhone sirf 18 runs dekar 2 wickets liye aur ek bhi boundary nahi di ane ehle 3 overs me! GT ke aur bowlers bhi zabardast rahe:

Mohammed Siraj ne Rohit Sharma ko pehli over me hi out kar diya

Ishant Sharma ne PowerPlay me sirf 2 runs diye!

Kagiso Rabada ne bhi MI ke middle order ko dabaa ke Rakha.

MI ko Harane ka Secret – Black Soil Pitch!

GT ki jeet sirf bowling se nahi aayi, balki smart home strategy ki wajah se bhi aayi. Shubman Gill ne pehle se decide kiya tha ki dusra match black soil pitch pe khelenge, taaki unki team ko madad mile. Pitch par cracks the aur ball urk ke aa rahi thi, jo GT ke bowlers ke liye best tha.

MI ke Trent Boult ne bhi GT ki smartness ki tarif ki lekin unhone ye bhi maana ki unki team is pitch ka bahana nahi bana sakti.

GT ki Tactics Kaam Aayi!

GT ne ahli ball se hi match par apni pakad banayi aur MI ko harane ke liye strategy ko sahi tarike se use kiya. Ye jeet GT ke  liye important hai aur yye dikhata hai ki home conditions ka sahi istemal kaise kiya jaye!


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *