Harbhajan Singh ka ‘Kaali Taxi’ comment controversy mein, social media par bhari backlash!|

Harbhajan Singh's 'Kaali Taxi' comment in controversy, huge backlash on social media!|

Gorer India cricketer Harbhajan Singh, jo ki IPL 2025 season ke liye comentaror ki role mein hai, Sunday ko ek controversy mein phans gaye. Harbhajan ne Sunrisers Hyderabad (SRH) aur Rajasthan royals (RR) ke beech match I commentary ke dauraan England ke fast bowler Jofra Archer ke liye ek ‘kaali taxi’ wala reference use kiya, jisse social media par bahut si reactions aayi.

Harbhajan ne kaha, “London mein kaali taxi ka meter tez bhaagta hai, aur yaha e Archer sahab ka meter bhi tez bhaaga hai. “Ye comment, jo ki Archer ke expensive spell (4 overs mein 76 runs) ko describe kar raha tha, ne social media par bahut se fans ko naraz kar diya. Kuch fans ne Harbhajan se apology ki demand ki, kyunki ye remark undertone wala laga.

Harbhajan, jo ki khud apne cricketing career mein racism face kar chuke hain, abhi tak is matter pe koi clarification ya apology issue nahi kiye hain.

Match ka Recap

Match ki baat karein, toh Sunrisers Hyderabad ne Rajasthan Royals ke khilaaf IPL history ka second highest total (286 runs) banaya. Ishan kidhan (106* off 47 balls) aur Travis Head (85 off 38 balls) ne SRH ke liye shandaar batting ki. Royals jo ki record target chase kar rahe the sirf 242 runs bana paye.

Jofra Archer, jo ki RR ke liye khel rahe the, apne 4 overs mein 76  runs khilane ke baad bhi ek bhi wicket nahi le aye. Unka yeh spell IPL ka sabse expensive spell bana jisse Harbhajan ka ‘kaali taxi’ wala coment aur bhi highlight ho gaya.

Social media par reactions

Social media par fans ne Harbhajan ke comment ko lekar kafi harsh reactions diye. Kuch fans ne kaha ki yeh remark unnecessary aur insensitive tha, jabki kuch ne Harbhajan ko defend karte hue kaha ki yeh sirf ek light hearted coment tha.

Ab dekhte hain ki Harbhajan is controversy pe kya react karte hain, aur kya who fans ko koi clarification ya apology denge.

Match ka Result

SRH ne RR ko 44 runs se harakar apne IPL 2025 campaign ko shandaar start diya. Ishan kishan aur Travis Head ki batting ne dushman team ke bowlers ko kuch karne ka mauka hi nahi diya. Ab dekhte hain ki SRH is tarah ke performances ke saath IPL ka record total kab todte hain!


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *