Hardik Pandya Ka Cheeky Send-off, Ashwani Kumar Ne Sirf Ek Banana Khakar Macha Diya Hungama!|

Mumbai Indians (MI) aur Kolkata knight Riders (KKR) ke beech IPL 2025 ke match me Hardik Pandya ka ek aur bold moment dekhne ko mila. Pehle Gujarat Titans ke R Sai Kishore ke saath stare-off karne ke baad, is baar Hardik ne Angkrish Raghuvanshi ko ek cheeky send-off diya.
Hardik Pandya ka ‘Goodbye’ Gesture
Match ke 7th over me Angkrish Raghuvanshi ne Hardik ki ball karne ki koshish ki, lekin ball unke bat ka sahi connection nahi bana paayi. Result? Naman Dhir ne deep mid-wicket par easy catch le liye!
Jaise hi Raghuvanshi out huye, Hardik Pandya bahut khush dikhai diye aur unhone ‘goodbye’ ka ek cheeky signal diya. Yeh moment dekhne laayak tha aur fans ke beech viral bhi ho gaya!
Ashwani Kumar ka Jabardast Debut – Sirf Ek Banana Ne Di Superpower!
Mumbai Indians ken aye medium pacer Ashwani Kumar ne ane IPL debut 4 wickets le kar KKR ke batting lineup ko hila diya! Unki deadly bowling ki wajah se KKR sirf 116 runs par all-out ho gayi.
Aur sabse interesting baat? Ashwani ne lunch me sirf ek banana khaya tha!
“Mujhe lunch me kuch nahi mila, sirf ek banana khaya tha. Thoda ppressure tha, isliye bhook nahi lag rahi thi. Lekin fir bhi, maine accha khela, toh achha lag raha hai,” Ashwani ne match ke baad kaha.
Kaunse Batsman Ko Out Kiya?
Ajinkya Rahane (KKR Captain)
Rinku Singh
Manish Pandey
Andre Russell
Ashwani Kumar ne KKR ki jeet ki Umeed khatam kar di!
Hardik Pandya Ne Mumbai Indians Ke Talent Scouts ko Diya Credit
MI ke captain Hardik Pandya ne kaha ki Ashwani Kumar ko scouting team ne dhoondha tha, aur unhone practice match me hi apni talent dikhai thi.
“Hume laga ki Ashwani is pitch par perfect honge, aur unhone waise hi bowling ki. Pura credit hamare scouts ko jata hai jo naye talented layer dhoondhne me expert hain,” Hardik ne kaha.
Ryan Rickelton Ne Mumbaikar Style Me Chase Khatam Kiya!
MI ke South African Wicketkeepar-batsman Ryan Rickelton ne 62 runs (41 balls) ki dhamakedar innings kheli, jisme 5 zabardast sixes lage!
Mumbai Indians ne Sirf 2 wickets ke loss par aur 7 overs baaki hote hi match jeet liya.
Mumbai Indians Ke Young Stars ka Jalwa!
Mumbai Indians har saal naye young talents ko introduce karne ke liye mashhoor hai, aur Ashwani Kumar ne apne dream debut se ye ek baar phir prove kar diya.
Kya Ashwani Kumar IPL 2025 ka sabse bada breakout star ban sakte hain? Yeh dekhna ab aur mazedaar hoga!