IPL 2025: CSK ke PowerPlay Struggles Aur Short-Ball ki Samasya|

IPL 2025: CSK's PowerPlay Struggles and Short-Ball Problem|

IPL me hammesha se ek cheez important rahi hai Powerplay me new ball ka sahi use. Aur 2025 me bhi yahi trend dikha raha hai. Ab tak ke 11 matches me jeetne wali teams ne powerplay me 11.16 runs par over ki rate se score kiya hai, jabki haarne wali teams sirf 9.21 runs per over bana pai hain. Matlab, jo shuruaat me tez khel raha hai, wahi match jeet raha hai.

Lekin Chennai Super Kings (CSK) ki team ab tak sabse slow rahi hai. Unka powerplay strike rate sirf 7.44 hai jo 10 teams me sabse kam hai. IPL 2025 me average powerplay score 61 runs ai, par CSK sirf 45 runs bana pa rahi hai. Iska ek bada reason hai short-ball ka struggle.

CSK ki Short-Ball Se Jang

CSK ke batters short balls se bahut zyada pareshaan ho rahe hain. Osh Hazlewood aur Bhuvvneshwar kumar ne unko RCB ke match me fansaya, aur Jofra Archer aur Tushar Deshande ne bhi RR ke mtch me wahi tactic use kiya.

Rajasthan ke fast bowlers ne powerplay me 20 short balls dali aur sirf 25 runs diye. Inme se 6 pull shorts marne ki koshish ki gayi, lekin unme se zyada tar galat connection hue. Raachin Ravindra bhi ek short ball pe out ho gaye.

Agar Hum CSK ke batters ke short ball ke khilaf performance ko dekhein, toh sirf Ruturaj Gaikwad aur Devon Conway ache nazar aate hain. Baaki sabka strike rate aur average kaafi bekar hai.

PlayerRunsBallsDismissalsAverageStrike RateDot%Boundary%
Ruturaj Gaikwad2251462112.5154.133.522.6
Devon Conway106661106160.632.327.27
Rahul Tripathi8265711.71126.1544.620
Rachin Ravindra6655416.512045.616.36
Deepak Hooda3531311.66112.933.312.9
Sam Curran29280NA103.5733.310.71

CSK IPL 2025 ki Sabse Weak short Ball Team

Agar hum Short ball ke khilaf IPL 2025 ki squads ka overall performance dekhein, toh CSK sabse neeche hai. Unka strike rate sirf 121.9 hai, jo soosri teams se kaafi kam hai.

TeamAverageStrike RateDot%Boundary%
RR34.33172.7438.230.18
SRH37.2169.637.729.93
PBKS35.5151.7843.325.89
MI27.63149.9440.923.03
DC34.7146.8242.524.25
RCB31.52145.3238.522.4
KKR27.69144.1441.822.49
LSG31.35133.6341.620.7
GT61.6132.9438.520
CSK30.6121.938.917.63

Matlsb CSK ke batters short balls pe sabse slow hain, aur sabse kam boundaries maar rahe hain.

CSK ke Aage Aur Bhi Kathinaiyan

Hazlewood aur Bhuvenshwar ne CSK ko Chepauk me short ball se pareshan kiya tha, aur ab Mitchell Starc bhi ready hai unko naye challenge dene ki liye. Starc ne bhi IPPL me short ball ka acha use kiya hai.

Aur sirf powerplay hi nahi, RR ne Death overs me bhi CSK ko confuse kiya. Jofra Archer ka ek over baaki tha, par phir bhi Riyan Parag ne Maaheesh Thekshana ko 18th over me bowling di, aur unhone sirf 6 runs diya. Dhoni aur Jadeja jaise experienced finishers bhi spin ke saamne struggle karte dikh rahe hain.

Aage Kya Karna Hoga CSK ko?

1 Short ball se nipatne ke liye naye strategy banani hogi. Opners ko confident start dena hoga.

2 Powerplay me aur aggressive approach lena padega, warna pressure build hota rahega.

3 Strike rate badhane ki zaroorat hai, sirf survive karna kaafi nahi hoga.

4 Devon Conway ki wapas aane ki zaroorat hai, taaki unka aur Gaikwad ka strong opening pair wapas bane.

5 Agar CSK ne jaldi solution nahi nikala, toh IPL 2025 unke liye kaafi muskil ho sakta


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *