IPL 2025: SRH aur CSK ne ki naye players ki entry – Smaran aur Mhatre ko mile mauka|

IPL 2025 mein injuries ne kai teams ko pareshan kiya hai, lekin Sunrisers Hyderabad (SRH) aur Chennai Super Kings (CSK) ne apne squads ko boost dene ke liye naye talented players ko tea mein shamil kiya hai.
SRH ne Chuna Ravichandran Smaran ko
Adam Zyampa ke injured hone ke baad, Sunrisers Hyderabad ne 21 saal ke left handed batter Ravichandran Smaran ko team mein liya hai. Yeh announcement IPL ki media advisory ke thorugh ki gayi.
Smaran Karnataka se belong karte hain aur unka IPL 2025 mein base price Rs 30 lakh tha. Unhone: 7 first class matches mein 500+ runs banaye hain, avg. 64.50 ka hai, aur unhone ek double century bhi maara hai Punjab ke against. List 10 A matches mein 433 runs banaye with the strike rate of 170. Inka performance dikhata hai ki who ek power packed player hain jo SRH ke liye kaafi impactful ho sakte hain.
CSK ne liye Ayush Mhatre ko
CSK ke catain Ruturaj Gaikwad injury ke kaaran IPL se bahar ho gaye hain. Unki jagah Mumbai ke opener Ayush Mhatre ko pick kiya gaya hai unka base Price bhi 30 lakh tha. Mhatre bhi kaafi promising player hain aur unka selection CSK ke liye ek future investment jaise hai.
CSK aur SRH ki Situation
Dono teams points table ke bottom half mein hain. Isliye naye players ko team mein lane se ek fresh start ka signal ho sakta hain.