Jaat Review: Sunny Paaji Ke Dhai Kilo Ke Haath Ab South Mein Baj Rahe Hain|

Aap kya bolenge aisi film ke baare mein jahan audience taaliyon aur seetiyon se rukti nahi hai? Sunny Deol aur randee Hooda ki film Jaat ka trailer jitna dhamakedaar tha, film usse bhi zyada action – loadednikli.

Action + Emotion = Perfect South Style Drama

Director Gopichand Malineni ne ye prove kar diya hai ki Jaat sirf ek star power wali action film nahi yeh film ek solid kahani, dumdaar performances aur balanced emotions ke saath aati hai. Sikandar ke fail ho jane ke baad, Jaat wahan se shine kart hai.

Sunny Deol – Mass Maharaja in Full Form

Real life mein shant, reel life mein sherni jaise, Sunny Paaji jab screen pe aate hain, toh goosebumps guaranteed hai. Chahe villains ko hawa mein uchaalna ho ya ek pura infrastructure todna ho, unka “OYE” sunte hi theatre hil jata hai.

Aur jab who bolte hain – “Yeh dhai kilo ke haath ki taakat north dekh chuka hai, ab south dekhega..” toh audience literally phat se whistle maar deti hai. South ke top action scenes aur Deol sir ki energy ka combo literally fire hai.

Randeep Hooda –  Ek Dangerous Villain

Randeep Hooda ne Ranatunga ke role zabardast tarike se nibhaya hai. Sri Lankan terrorist se lekar Andhra ke Villages ka gang boss banna – unka cold blooded style dekhne layak hai. Threats aur us creepy Cuckoo sound – ka sab kuch villainous AF. Vineet Kumar Singh bhi bhai ke role mein theek hai, lekin kabhi kabhi over ho jaata hai.

Female Charecters – Missed Opportunity

Regina Cassandra ne villain ki biwi ban kar ek dark role kiya hai. Kaafi achha kaam kiya hai. Lekin sayami kher as a olice officer thodi disappointing thi. Aur Urvashi Rautela ka song.. honestly, koi naya impactful feel nahi aaya.

Graphic Scenes Alert

Film mein violence lever accha hai – kaate sir, goliiyaan, torture, sab kuch accha hai.  Agar aap sensitive ho toh thoda heavy lag sakta hai. Aur negative point – kuch unusual dialogues jaise “chudiyaan pehni hai kya?” sunke tohea aacha nahi lagta hai. Ispe Directors ko kaam karna chahiye.

Smart Writing + Fast Pace

Simple idli plate girne wali maafi ko pura film mein dikhaya gaya hai jo kuch clever writing hai. Flashback aur non – linear storytelling film ko engaging banate hain. Ye movie 2 hours 40 minutes ka runtime hone ke baad bhi bore nahi karti hai. In the first half .

Monologues + Ramayan Vibe = Sunny Nostalgia

Sunny Deol ke Gadar-Border Ghayal Style monologues bhi mili hai. Ramayan theme ke background mein unka introduction aur ‘Jai Shri Ram’ gaane ne total mass entry dekhaya gaya hai.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *