“Jasprit Bumrah ‘Fracture ke Border Par’: BCCI Ne Di Warning, IPL Se Ab Tak Door”|

IPL 2025 ke pehle do rounds ke matches khatam ho chuke hain, lekin ab tak Jasprit Bumrah ka koi ata-pata nahi hai. Yeh fast bowler January se action mein nahi hai, jab Australia Tour ke dauraan unki back injury ho gayi thi. Is wajah se who India vvs England Test Series, champions Trophy miss kar chuke hain, aur ab tak yeh bhi clear nahi hai ki who Mumbai Indians ke liye IPL 2025 mein kab wapas aayenge.
IPL 2025 ke turant baad jo May ke Last week mein khatam hoga, Indian cricket team England jaayegi ek important Test series ke liye jo June ke third week se start hogi.
Former New Zealand fast bowler Shane Bond, jo Mumbai Indians mein Bumrah ke saath kaam kar chuke hain aur ab Rajasthan royals ke saath hain unka kehna hai ki Bumrah par zyada load nehi daalna chahiye, jaise Australia Tour ke dauraan daala gaya tha.
Jab unse pucha gaya ki kya Bumrah ko apni bowling style change karni chahiye, toh Bond ne kaha: “Mujhe nahi lagta. Uska (2023) surgery ho chuka hai phir bhi usne Australia Test series khela aur kamaal ka performance diya. Par ek mahine ke dauraan usne bohot zyada bowling kar di. Accha yeh hai ki uski injury fracture tak nahi pahuchi hai lekin yeh borderline par hai.”
“India ko yeh seekhna chahiye ki agar England ke 5-Test match series mein bhi aisa hi kiya, toh wahi nateeja milega. Aap ek hi bowler par pura load nahi daal sakte. Aapko ek acchi squad chahiye jisme aap rotation kar sakein. Kyunki agar aap usey kho dete hain, toh phir T20 World Cup, 50-over World Cu bi hai, aur who har format mein ek important player hai. IPL bhi hai, toh uski availability ka dhyan rakhna zaroori hai.”
Bond ne yeh bhi bataya ki Australia mein Bumrah ne 5 Test matches ke dauraan 151.2 overs daal diye the jo uski injury ka reason bana.
“Australia mein usne sirf zyada overs daalne ki wajah se injury jheli. Uska performance amazing tha, lekin us par bohot zyada bhar daal diya gaya. Mujhe lagta hai ki usne ek Test match mein 50 overs daale the. Injuries avoid nahi ki ja sakti, lekin hum unhe kam zaroor kar sakte hain. Aur mujhe ummeed hai ki Bumrah ek aur badi injury se bach sakega.”
“ Aur sabse badi baat yeh hai ki use ek Test match mein itne overs nahi daalne chahiye. Maximum 45 overs tak ka load manageable hai, usse zyada risk lena sahi nahi hoga. Mujhe yakin hai ki Indian team management bhi is cheez par dhyan de raha hoga aur jo galti pehle ho chuki hai, usse avoid karne ki koshish ki jar ahi hogi. Bumrah ek professional hai, who sab kuch sahi tareeke se karta hai. Bas hum sirf yeh ensure kar sakte hain ki uski injury aur serious na ho.”