SBI Customers ko Phir Hua Banking Disruption, Mobile Aur Internet Banking Hui Band!|

State Bank of India (SBI) ke customers ko aaj fir se banking services me dikkat ka samna karna pada. Mobile banking aur fund transfers jaide featues technical issues ki wajah se down ho gaye. Yeh is mahine ka doosra outage hai, jo poore desh ke users ko effect kar raha hai.
Kya Hai Yeh Problem?
SBI Users ko mobile banking aur fund transfers karne me dikkat ho rahi hai.
Downdetector ke data ke mutaabik, sabse zyada complaints 11:00 AM – 11:30 AM IST ke beech aayi.
Reported issues:
Mobile banking – 64%
Fund transfer -33%
ATM se related problems – 3%
Customers social media par apni pareshaani share kar rahe hain aur failed transactions ki shikayat kar rahe hain.
NPCI ka Statement
National Payment Corporation of India (NPCI) ne kaha hai ki financial year closing ke chalte kuch banks transaction issues face kar rahe hain.
“UPI system sahi kaam kar raha hai, par kuch banks me transactions decline ho rahe hain. Hum in banks ke saath milkar is issue ko resolve kar rahe hain.”
March 11 ko Bhi Hua Tha Aisa Issue!
11 March ko Bhi SBI ke customers ko 4 ghante tak UPI aur mobile banking me dikkat aayi thi.
SBI ne tab kaha tha ki 5 PM tak issue resolve ho gaya tha, par exact reason nahi bataya gaya.
RBI ka Kya Kehna Hai?
Reserve Bank of India (RBI) ne pehle bhi banks ko backend system sudharne aur outages rokne ke liye strict instructions diye hain.
RBI chahata hai ki aise disruptions minimum ho aur agar hob hi, toh turant solve kiye jaaye.
Agar Koi bank baar-baar aise issue face kata hai toh uspar strict action bhi ho sakta hai.
Customers ke Liye Kya Kare?
Agar aap bh SBI customer hain aur aapko problem ho rahi hai, toh ye steps follow karein:
Kuch der baad phir se try karein – ho sakta hai system jaldi wapas normal ho jaaye.
Altrnatives ka use karein – ATM ya kisi doosre bank ke UPI se kaam chalayein.
SBI ki official website ya social media updates chack karein.
Aage Kya Hoga?
SBI jaise bade bank ke liye baar-baar aise disruptions serious issue hain. Agar aise hi problems hoti rahi, toh customers ka trust impact ho sakta hai. Kya SBI future me aise issues solve karne ke liye naye steps lenga? Yeh dekhna interesting hoga!