Shashi Tharoor Ne PM Modi Ki Tareef Par Diya Jawaab, Congress Ke Kuch Neta Naraaz

Shashi Tharoor

Congress ke Lok Sabha MP Shashi Tharoor ne Saturday ko unke PM Narendra Modi ki US visit ki tareef aur Kerala ki Left Democratic Front (LDF) government ki tarif par uth rahi aalochna ka jawab diya.

Tharoor Ka Jawaab

Tharoor ne ANI se kaha, “Maine 16 saal se politics me hoon. Mera maanna hai ki agar sarkar—chahe wo hamari ho ya kisi doosri party ki—koi achha kaam karti hai, toh use acknowledge karna chahiye. Agar koi galat kaam kare, toh uski aalochna honi chahiye.”

Unhone yeh bhi kaha, “Agar main sirf tareef hi karta rahun, toh koi mujhe seriously nahi lega. Agar sirf ninda hi karta rahun, toh bhi koi seriously nahi lega… Democracy me thoda give and take hona zaroori hai.”

Tharoor ne PM Modi ki Washington visit par bhi sawal uthaye.

“Kya Modi ji ne illegal immigrants ko India wapas bhejne ke tareeke par koi sawaal uthaya? Kya yeh mudda band kamre me discuss hua?”

Saath hi unhone kaha, “Mujhe khushi hai ki trade aur tariffs par aane wale 9 mahino me negotiation hoga. Yeh usse behtar hai ki America bina soche samjhe India par tariffs laga de, jo hamari exports ko nukhsan pahucha sakta tha.”

Pehle Kya Bola Tha Tharoor Ne?

Friday ko Tharoor ne PM Modi ki US visit par positive comment diya tha. Unhone kaha tha ki joint press conference se aisa lagta hai ki meeting achi rahi.

Unhone Donald Trump ka zikr karte hue kaha,
“Ek aise aadmi se sunna, jiska defence secretary use duniya ka sabse bada negotiator kehta hai, ki Modi ji usse bhi behtar negotiator hai—yeh sunke toh Modi ji is baat ko bank me jama kar sakte hain. Yeh unke liye achi baat hai.”

Saath hi, Tharoor ne Kerala ki LDF sarkar ke startup ecosystem ki bhi tarif ki, jise leke Congress ke kuch neta naraaz ho gaye.

Congress Neta Tharoor Se Naraaz

Onmanorama ke mutaabik, Kerala Pradesh Congress Committee (KPCC) ne Tharoor ke khilaf AICC High Command ko ek letter bhej kar apni naraazgi jatayi hai.

Congress ke VD Satheesan ne Tharoor ke startup data ki credibility par bhi sawaal uthaye.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *