Sikandar Movie Review: Salman Khan ki Thakeli Acting Aur Ek Aur Bekar Film|

Salman Khan ab bas kaam ka hero reh gaya hai. Acting ka jazba Kahin kho gaya hai, aur har director ko unke saath kaam karne ke liye naya tareeka sochna padta hai. Kabir kahan ke Bajrangi Bhaijaan ke baad se, kisi bhi film me unka purana charm waapas nahi aaya. Radhe, kisi ka Bhai kisi ki Jaan aur Tiger 3 – sabhi me wahi purani, thakeli acting. Aur ab sikendar bhi usi list me shamil ho gayi hai.
Agar Salman apni movies me effort nahi daal rahe, toh ek critic kyun daale? Same cheezein baar baar likhna bhi bore kar deta hai. Simple baat hai ab yeh sab band karo kuch naya socho, yap hir retire ho jao!
Kahani ka Halwa Plot
Film ki shuruaat hoti hai Sanjay Rajkot (Salman Khan) ke ek neta ke bigde bete ki pitai se jo ek fight me ladkiyon ko pareshaan kar raha tha. Phir pata chalta hai ki Sanjay, jo Sikandar bhi kehlata hai, Rajkot ka raja hai aur apni proja se bahot pyaar karta hai. Uske paas ek private army bhi hai ar wo khud hi dushmanon ko pita hai.
Ek scene me uska ek employee aake batata hai ki usne jo weapons beche the, wo Punjab me ek terrorist attack me use hue. Ye confession sunke koi bhi shock me aa jay per Salman sirf hero mode me fight karne nikal padte hain. Bas, kyunki ek action scene daalne tha. Logic gayi tel lene!
Rashmika Mandanna: Ek Aur Waste Charecter
Mandanna film me bas shagunka maidaan hai. Jab tak unki entry hoti hai, tab tak unki “bhooton wali awaaz” background me sunai dene lagti hai. Yeh foreshadowing ka ek bekaar attempt hai. Director Murugadoss ki Ghajini movie yaad hai? Usme bhi ek dead fiancée ka angle tha. Samajhdar log pehle hi samajh gaye honge ki Mandaan ka character bhi zinda nahi bachega.
Salman ki Bina Effort Wali Acting
Film ka second half Mumbai me shift ho jata hai jahan Sikendar apni wife ke donated organs ke recipients ko dhundta hai. Kya aapne kabhi kisi ko aise karta dekha hai? Bajrangi Bhaijaan ke baad se Salman sirf ek ache insaan ka image dikhane me lage hain, par acting ke naam pe kuch nahi.
Ek scene me wo slum ke bacchon ki khansi dekh rahe hote hain, doosre me gym bros ko motivate kar rahe hote hain aur kabhi papad ka business promote karte nazar aate hain. Matlab, film dekhne aaye ya social service ka documentary? Aur jab action scenes aate hain, toh bilkul clear ho jata hai ki salman action cinema ken aye daur se bahar ho chuke hain. Tiger 3 me YRF jaise bade studio ne bhi unko bacha cahi paya, toh Sikandar kya cheez hai?
South ki Flop entry Bollywood Me
Murugadoss South se Bollywood me aaye the Ghajini ke saath, par uske baad koi bhi film waisa magic nahi dikha paayi. Sikandar ek aur example hai ki kaise ye Hindi remakes ya inspired films ka formula fail ho raha hai.
Film me dialougues weird hain, actors ke dialogues unke muh se fit nahi ho rahe aur screenplay itna random hai ki kuch bhi ho raha hai bina kisi logic ke. South cinema ka solid impact toh hai, par Sikandar jaise Bollywood experiments usko bas cheap version bana dete hain.
Ab Bas Karo Salman!
2016 me Sultan aayi thi, jo unki aakhri achhi film thi. Uske baad bas flop aur cringe movies ki line lagi hai. Is film ko dekhne aaye kuch salman ke hardcore fans bhi beech me bore hog aye. Matlaab, jab hardcore bhakts bh thak jayein, toh samajh lo case serious hai.
Film ke end me Salman khan “Ajeeb Dastaan Hai Yeh” gaate hain, aur ekdum sahi moment lagta hai. Haan bhai, ye daastaan ab khatam honi chahiye. 1988 me start hui thi ab bas karo! Aur nahi chahiye Dastaan e salman ka ek aur bekaar edition.
Final Verdict: Skip karo Bhai!
Rating: 1.5/5
Agar Salman ke sacha fan ho, toh purani movies dekh lo.
Agar acchi action film dekhani hai, toh kisi aur hero ki dekh lo.
Agar aapko logic pasand hai, toh is film se door raho.