SRH ko KKR se karari haar, Captain Pat Cummins ne bataya kahan hui galti|

Kolkata Knight Riders (KKR ) ke against 80 runs ki buri haar ke baad Sunrisers Hyderabad (SRH) ke captain Pat Cummns ne mana ki unki team ne apna best performance nahi diya. IPL 2025 me yeh SRH ki teesri continuous haar rahi, jisse team ki apni strategy par dobara sochna padega.
Cummins ne jatai nirasha
Match ke baad Pat Cummins ne bola ki target impossible nahi tha, but unki team ne chance miss kar diya. “Accha time nahi chal raha. Yeh score chase ho sakta tha, pitch bhi achi thi. But humne fielding me bahut zyada runs de diye aur batting me bhi iche reh gaye “Cummins ne kaha. Unhone mana ki SRH ko apni strategy par dubara sochna hoga.
“Continuous 3 matches me cheeze hamare favour me nahi gayi. Hume yeh dekhna hoga ki hum better options le sakte the ya nahi. Hamari batting best tab hoti hai jab jum aggressive khelte hain, but shayad hume thoda alag tarike se khelna chahiye tha “ unhone aage bola.
Fielding ne game bigada
SRH ki bowling zyada buri nahi thi, but fielding ki galtiyon ne damage kar diya. “Hamari fielding wead rahi. Bowling aachi tha, but humne kuch catches chhod diye aur KKR ko jaldi rok nahi paye “ Cummins ne accept kiya. SRH ne is match me leg sinner Adam Zampa ko nahi khilaya. Cummins ne bataya ki pitch spin friendly nahi thi, isliye unhe bahar Rakha gaya. “Humne sirf 3 overs spin daale, but ball jyada grip nahi kar rahi thi. Isliye humne zampa ko team me nahi liya,” unhone explain kiya.
SRH ki shuruaat acchi, but KKR ne game palat diya
SRH ne toss jeetkar pehle bowling ka decision liya. Shuruaat me KKR ke 2 wickets sirf 16 runs ar gir gaye, but uske baad Rahane (38) raghuvansi (50) ,Venkatesh Iyer (60) aur Rinku Singh (32)* ki zabardast batting ne KKR ka score 200/6 tak le gaya.
SRH ki batting rahi bohot weak
Target chase karne utri SRH ki team starting se hi struggle karti dikhi. Vaibhav Arora (3/29) aur Varun Chakravarthy (3/22) ne SRH ki batting ki kamar tod di. Sirf Heinrich Klaasen (33) aur kamindu Mendis (27) hi 20 se zyad runs bana sake aur poori team 120 runs par all out ho gayi.
KKR ki Comeback, SRH ab bhi last position par
Is jeet ke saath KKR ki position improved hui aur ab wo 5th spot par aa gaye hain, jabki SRH sabse last position par bani hui hai. Ab SRH ko waapas track par aane ke liye jaldi bade changes karne honge.
Kya SRH comeback kar payegi? Ya unka safar aur mushkil ho jayega? Comment me apni rai dein.