Trump ke “Bombing” Waale Threat ke Baad Iran Ne Ready Kiya Misiles!|

New Delhi: Amreeki President Donald Trump ne jab Iran ko “Bombing” ka dhamki diya, toh Iran ne bhi tez jawab diya! Iran ki armed forces ne missiles Launch ke liye ready kar li hai, jo US-linked positions ko maar sakti hain. Yeh report stat ownerd Tehran Times ne di hai.
Iran ki Missiles Underground Bases Se Taiyar!
Tehran Times ke mutabik, Iran ne apni missiles underground bases me ready rakh rakhi hain, jo kisi bhi airstrike ko jhelne ki takat rakhti hain. Yeh missiles puri duniya me US – linked locations ko hit kar sakti hain!
Trump ka Bada Warning; “Agar Deal Nahi Hui, Toh Bombing Hogi!”
Sunday ko Trump ne ek interview me kaha ki agar Iran unki conditions par nuclear deal nahi karta, toh aise bombing hogi jo pehle kabhi nahi dekhi gayi!
Saath hi, Trump ne secondary tariffs lagane ka bhi hint diya, jo Iran aur uske trade partners ke liye musibat la sakti hai.
Iran Ka Jawaab: “Hum Baatcheet Se Bhagte Nahi!”
Iran ken aye President Masoud Pezeshkian ne Trump ke statement ko reject kar diya. Lekin unhone ye bhi kaha ki indirect talks chal sakti hain, Oman ke Zariye.
Unhone kaha:
“Humein negotiations se problem nahi hai, par hamesha unki bewafai ne problems creat ki hai. Pehle who yeh prove karein ki unke decisions trust – worthy hain.”
Naya Tanaav, Naayi Tension!
Agar Trump aur Iran ke beech yeh tanav badhta gaya, toh global politics aur markets par bhi iska bada asar ho sakta hai. Ab dekhna yeh hoga ki yeh baatcheet shaanti ki taraf badhti hai yaa ek aur conflict ki shuruaat hoti hai!
Aapka kya kehna hai is situation par? Kya Trump sahi kar rahe hain ya Iran ka stance theek hai?