Trump ke Tariff Shock ke Baad Indian Stock Market Ne ki Partial Recovery|

Trump ke Tariff Shock ke Baad Indian Stock Market Ne ki Partial Recovery|

April 2 ko Trump Administration ke 27% tariffs  ke shock ke baad Indian Stock market ne aaj thodi recovery dikhayi. Lekin IT aur Auto stocks ko sabse zyada impact dekhne ko mila, jske wajah se Sensex aur Nifty neeche band hue.

Market Ka Performance Aaj Kaisa Raha?

Sensex 322 points girkar 76,295 par band hua. Nifty 82 points neeche 23,250 par band. Nifty IT index 4.21% gira (1526 points ka girawat). BSE IT index 1348 points girkar 34,293 par aaya.

IT aur Auto sector stocks ne sabse zyada damage liya, kyunki analysts ka manna hai ki Trump ken aye tariffs US  ki economy ko slow kar sakte hain, jiska direct impact Indian IT services ki demand par padega.

IT Stocks Ko Sabse Zyada Nuksan

Infosys (-3.41%)

TCS (-3.98%)

Tech Mahindra (-3.79%)

HCL Tech (-3.71%)

Ye stocks Sensex ke sabse bade losers rahe kyunki US me slowdown se Indian IT companies ki revenue growth slow ho sakti hai.

Auto Stocks Bhi Pressure Me

BSE Auto Index 548 points girkar 47,412 par band. Bharat Forge, Bajaj Auto, Tata Motors, Ashok Leyland, TVS Motor ke shares gir gaye. Trump tariffs se Indian auto exporters ko nuksan ho sakta hai, isi wajah se investors ne in stocks ko sell kiya.

Market Me Kuch Recovery Kyu Aayi?

India ke liye tariff impact limited hai – Analysts ka kehna hai ki India par 27% ka tariff laga hai, jabki Vietnam (46%), China (34%) aur Taiwan (32%) kaafi zyada impact me hain. Is wajah se India ko global market me thoda competitive edge mil sakta hai. Power Pharma aur Cement stocks me buying hui – Kuch Sensex stocks jaise PowerGrid, Sun Pharma, UltrTech Cement, NTPC, Asian Paints aurr Nestle 4.34% tak bade.

BSE midcap aur smallcap me positive movement

BSE midcap index 128 points chadhkar 41,796

BSE smallcap index 358 points chadhkar 47,494

Experts Kya Keh Rahe Hain?

Suport Levels & Resistance Zones. Nandish Shah (HDFC Securities): Nifty ka 23129 level important support hai. Agar ye todta hai to next support 22917 ar hoga. Agar Nifty 23400 cross karta hai, to rally 23650 tak ja saktai hai.

Sharikant Chouhan (kotak Securities): Market abhi non-directional phase me hai. Agar Sensex 77000 ke upar jata hai, to bounce back ho sakta hai. Agar 75800 ke neeche girta hai, to selling pressure aur badh sakta hai.

Ajit Mishra (Religare Broking): Market me stock specific opportinuties dhundhne ka waqt hai. Nifty 23100 ke neeche gaya to selling pressure aur badh sakta hai.

Rohit Murarka (Kotak Cherry): Short term me market volatile rahega, lekin long term me India naye markets dhundh sakta hai aur global competition strong kar sakta hai.

Aaj Market Me Kya Kya Hua?

72 stocks ne apna 52 week high touch kiya. 52 stocks 52 week lows par pahunche. 5 Stocks upper circuit par gaye. 8 stocks lower circuit me gaye.

Aage Kya Expect Kare?

Short term me market volatile reh sakta hai, lekin long term me India ko advantage mil sakta hai kyunki China, Vietnam aur Taiwan par zyada tariffs lage hain. IT aur Auto stocks abhi bhi pressure me rahenge, lekin Power Pharma aur Cement sectors me opportunity ho sakti hai. Trader ke liye 23150-23350 ke beech ka range important hai iske beech girne se aur correction aa sakta hai, aur upar nikalne se rally continue ho sakti hai.

Aapko lagta hai ki Indian stock market Trump ke tariffs ka impact handle kar payega? Apni rai comment me bataye.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *