Waqf (Amendment) Bill Par Bawaal – CM Stalin Ne PM Modi ko Likha Patra|

New Delhi: Tamil Nadu ke CM MK Stalin ne PM Narendra Modi ko patra likh kar Waqf (Amendment ) Bill wapas lene ki maang ki hai. Yeh bill aaj sansad me debate aur paas hone ke liye Rakha gaya tha. DMK aur anya non-NDA arties ne ekjut hokar is bill ka virodh kiya hai.
Opposition Kyon kar Raha Hai Virodh?
Opposition ka kehna hai ki yeh bill asamvaidhanik hai aur dharmic swatantrata ka ulangan karta hai. Virodh karne ke mukhya karan ye hain:
Article 14 ka ullanghan – JO kanoon ke saamne sabko samaanta ka adhikar deta hai.
Article 15 ka ullanghan – Jo dharm ke aadhar apr bhedbhaav rokta hai.
Kuch Muslim samuday ke netaon ka kehna hai ki sarkar is bill ke zariye Waqf properties par apna control jamaana chahti hai. Tamil Nadu assembly ne pehle hi ek prastav paas kar ke is bill ko wapas lene ki maang ki hai.
CM Stalin Ne Apne Patra Me Kya Likha?
Stalin ne likha ki sambhidhan har nagrik ko apne dharm ko palan karne ke adhikar deta hai.
Unka kehna hai ki sarkar ka farz hai ki who is adhikar ka sanrakshan kare.
Lekin bill me aisi baatein hain jo Muslim samuday ke hiton ko nuksan pahuncha sakti hain.
Bill Ke Vivadit Mudde Kya Hain?
CM Stalin ne kayi mudde uthaye jo is bill ko Muslim samuday ke liye hanikarak bata rahe hain:
Waqf board me 2 non-Muslim sadasyon ka hon anivarya isse dharmic swatantrata par prabhav padega
“Waqf by User” ka hata diya jana – Jo itihasik waqf properties ke darje ko prabhavit karega.
Sirf who log jo 5 saal se Islam follow kar rahe hain, wahi Waqf ko Sampatti daan kar sakenge – Isse non-Muslims waqf me daan nahi kar paayenge jo Bharat ki Ganga-Jamuni Tehzeeb ko prabhavit karega.
Sarkarr ka Kya Kehna Hai?
Sarkar ka kehna hai ki yeh bill sirf property management aur government ke liye hai, dharmic bhavnaon ka isse koi lena dena nahi hai.
Union Minister Kiren Rijiju ne Lok Sabha me Kaha:
“Pehle koi bhi zameen waqf property ghoshit ho sakti thi. Iska durupyog itna hua ki lakhon properties Waqf me shamil ho gayi. Is bill se is durupyog ko roka jar aha hai.”
Unhone daava kiya ki Tamil Nadu ka Surendereshwar Mandir, Karnataka me hazaron acre ki zameen, aur Haryana ka ek Sikh Gurudwara bhi waqf ghoshit kiya gaya tha, bina kisi mosque ke record ke!
Aage Kya Ho Sakta Hai?
Opposition aur Muslim samuday ke virodh ke bawajood sarkar is bill ko pass karwana chahti hai. Tamil Nadu ke CM Stalin ne PM Modi se is par hastakshep karne ki appeal ki hai. Dekhna yeh hoga ki sarkar is bill me koi badlav karti hai ya nahi.