Yuzvendra chahal aur Dhanshree Verma ka Divorce Final, alimony Rs 4.75 Crore!|

Yuzvendra Chahal and Dhanshree Verma's Divorce Final, Alimony Rs 4.75 Crore!|

India ke famous leg spinner Yuzvendra chahal aur unki wife Dhanshree Verma ka divorce final ho gaya hai. Dono ne mutual consent ke basis par divorce ka joint plea file kiya tha, aur 20 March ko Mumbai ke Bandra Family Court ne unhe divorce grant kar diya. Chahal ne court hearing ke daruan ek customised T shirt pehni thi, jisme likha tha: “Be Your Own Sugar Daddy.” Ye phrase financial independence ko represent ko represent karta hai.

Divorce Settlement Ke Details

Chahal ko Rs 4.75 crore ki alimony deni hogi.

Unhone pehle Rs 2.37 crore pay kiye the.

Baki amount divorce decree milne ke baad pay ki jayegi.

Dono ne February 2024 mein mutual consent se divorce ka plea file kiya tha.

Family court ne pehle 6 month cooling off period waive karne se mana kar diya tha, kyunki alimony ka payment complete nahi hua tha.

Baad mein, chahal aur Dhanshree ne Bombay High Court mein joint plea file kiya, jisse cooling off period waive ho haya aur divorce final hua.

Chahal aur Dhanshree ka Relationship Timeline

2020: Dono ki shaadi hui thi.

June 2022: Dono alag rehne lage tha.

2024: Social media par dono ne ek doosre ki photos hata di thi, aur separation ke rumours filne lage the.

Februray 2024: Dhanshree ke family lawyer ne confirm kiya ki dono ne divorce ka joint plea file kiya hai.

IPL 2025 ke Liye Chahal Ka Comeback

Chahal ab Punjab Kings ke saath apne IPL career ko continue karenge.

Unhe Punjab ne Rs 18 crore mein auction mein kharida tha.

25 March ko Punjab Kings ka pehla match Gujarat Titans ke against hoga.

Chahal, Shreyas Iyer aur Coach Ricky Ponting ke saath ek strong team banayenge.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *